Sunday, November 26, 2006

Jab yar ne utha kar zulfon ke bal bandhe – Mohammed Rafi Sauda



jab yar ne utha kar zulfon ke bal bandhe
tab main ne apne dil mein lakhon khayal bandhe
do din mein hum to rijhe ae vae hal un ka
guzri hain jin ke dil ko yan mah-o-sal bandhe
tar-e-nigah mein us ke kyon kar phanse na ye dil
aankhon mein jis ke lakhon vahashi gazal bandhe
bose ke hai to khvahish par kahiye kyon ke us se
jis se mizaj-e-lab par haraf-e-saval bandhe
maroge kis ko jee se kis par kamar kasi hai
phirate ho kyon pyare talavar dhal bandhe
do char sher aage us ke padhe to bola
mazamun ye tune apne kya hasb-o-hal bandhe
“sauda” jo un ne bandha zulfon mein dil saza hai
sheron mein us ke tu ne kyon khat-o-khal bandhe


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Mohammed Rafi Sauda



No comments:

Post a Comment