Tarz jine ka sikhati hai mujhe
tashnagi zeher pilati hai mujhe
raat bhar rahati hai kis baat ke dhun
na jagti hai na sulati hai mujhe
ruthata hun jo kabhi duniya se
zindagi aake manati hai mujhe
aaina dekhun to kyunkar dekhun
yaad ik shakhs ke aati hai mujhe
band karta hun jo aankhen kya kya
roshani si nazar aati hai mujhe
koi mil jaye to rasta kat jaye
apni parachai darati hai mujhe
ab to ye bhool gaya kis ke talab
des parades phirati hai mujhe
kaise ho khatm kahani gham ke
ab to kuch neend si aati hai mujhe
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Khalil ur Rahman Azmi
No comments:
Post a Comment