Dil dhadakane ka sabab yaad aaya
wo teri yaad thi ab yaad aaya
aj mushkil tha sambhalana ae dost
tu musibat mein ajab yaad aaya
din guzra tha badi mushkil se
phir tera vada-e-shab yaad aaya
tera bhula hua paiman-e-vafa
mar rahenge agar ab yaad aaya
phir kai log nazar se guzri
phir koi shahar-e-tarab yaad aaya
hal-e-dil hum bhi sunate lekin
jab wo rukhsat hue tab yaad aaya
baith kar saya-e-gul mein ‘nasir’
hum bahut roye wo jab yaad aaya
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi
No comments:
Post a Comment