Monday, November 20, 2006

Dam-e-subah bazm-e-khush jahan shab-e-gam se kam na thi meharaban – Meer Taqi Meer



Dam-e-subah bazm-e-khush jahan shab-e-gam se kam na thi meharaban
ki chirag tha so to dud tha jo patang tha so gubar tha
dil-e-khasta jo lahu ho gaya to bhala hua ki kahan talak
kabhi soz-e-sina se daag tha kabhu dard-o-gam se figar tha
dil-e-muzatarib se guzar gai shab-e-wasl apni hi fikr mein
na dimag tha na farag tha na shakeb tha na qarar tha
ye tumhari in dinon dostan mizhgan jis ki gham mein hai khun-chakan
wahi aafat-e-dil-e-ashiqan kisu waqt hum se bhi yar tha
kabhu jayegi udhar saba to ye kahiyo us se ki bewafa
magar ek “meer”-e-shikasta-pa tere bag-e-taza mein khar tha



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer



No comments:

Post a Comment