Saturday, March 3, 2007

Kaisa chalan hai gardish-e-lail-o-nahar ka – Mumtaz Mirza



Kaisa chalan hai gardish-e-lail-o-nahar ka
shikwa har ek ko hai gam-e-rozagar ka
tuti jo aas jal gaye palkon pe sau chirag
nikhara kuch aur rang shab-e-intazar ka
is zindagi i hum se haqiqat na puchiye
ik jabr jis ko naam diya ikhtiyar ka
ye kon aa gaya meri bazm-e-khayal mein
pucha mizaj kis ne dil-e-sogavar ka
dekho phir aj ho na jaye kaheen khun-e-aitamad
dekho na toot jaye fusun aitabar ka


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mumtaz Mirza



No comments:

Post a Comment