Wednesday, March 21, 2007

Aj kya dekha khalaon ke sunehre khvab mai – Prem Warbartoni



aj kya dekha khalaon ke sunehre khvab mai
regzaron ke siva kuch bhi nahi mahtab mai


jab se pahana hai naye mausam ne zakhmon ka libas
phul se khilane lage hain dida-e-khunab mai


nisfshab ko nind mai chalata hua paikar koi
naqsh-e-pa kyon chod jata hai dayar-e-khvab mai


wo to khud apne tajassus mai bhatak kar rah gaye
tazakara tha jin ke azamat ka bahut ehabab mai


chedata hai saz-e-shab ko yun samandar ka sukut
dub jati hai faza sangit ke sailab mai


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :  Prem Warbartoni



No comments:

Post a Comment