Mohabbat Zaat Hoti Hai
Wasi Shah Kii Ek Nazm Paish E Khidmat Hai
Mohabbat Zaat Hoti Hai
Mohabbat Zaat Ki Takmeel Hoti Hai
Koii Jangal Men Ja Thehrey Kisi Basti Men Bas Jaye
Mohabbat Saath Hoti Hai
Mohabbat Khushboo Kii Ley
Mohabbat Mosamon Ka Dhun
Mohabbat Aabsharon Key Nikhartey Paaniyon Ka Man
Mohabbat Jangalon Men Raqs Karti Morni Ka Tan
Mohabbat Parhti Sardiyon Men Dhoop Banti Hai
Mohabbat Chalchalatey Garm Sehraaon Mem Thandi Chaaon Kii Manind
Mohabbat Ajnabi Duniya Men Apney Gaaon Kii Manind
Mohabbat Dill
Mohabbat Jaan
Mohabbat Moorti Hai
Aur Kabhee Jo Dill Ke Mandir Me Kaheen Par Toot Jai To
Mohabbat Kaanch Kee Guriya
Fizaaon Men Kisi Ke Haath Se Gar Choot Jai To
Mohabbat Aabla Hai Karb Ka
Aur Phoot Jai To
Mohabbat Rog Hoti Hai
Mohabbat Soz Hoti Hai
Mohabbat Sog Hoti Hai
Mohabbat Shaam Hoti Hai
Mohabbat Raat Hoti Hai
Mohabbat Jhilmilati Aankh Men Barssat Hoti Hai
Mohabbat Neend Kii Rut Men Khuabon Key Raston Par Sulagtey Jaan Ko Aatey
Rat Jagon Kii Ghaat Hoti Hai
Mohabbat Jeet Hoti Hai
Mohabbat Maat Hoti Hai
Mohabaat Zaat Hoti Hai
No comments:
Post a Comment