Monday, March 19, 2007

Zindagi mein to sabhi pyar kiya karte hain – Qateel Shifai



Zindagi mein to sabhi pyar kiya karte hain
main to mar kar bhi meri jan tujhe chahunga
tu mila hai to ye ehasas hua hai mujhko
ye meri umr mohabbat ke liye thodi hai
ik zara sa gam-e-dauran ka bhi haq hai jis par
main ne wo sans bhi tere liye rakh chodi hai
tujh pe ho jaunga quraban tujhe chahunga
apne jazbat mein nagmat rachane ke liye
main ne dhadakan ke tarah dil mein basaya hai tujhe
main tasavvur bhi judai ka bhala kaise karun
main ne qismat ke lakiron se churaya hai tujhe
pyar ka ban ke nigehaban tujhe chahunga
teri har chap se jalate hain khayalon mein chirag
jab bhi tu aaye jagata hua jadu aaye
tujh ko chu lun to phir ae jan-e-tamanna mujhko
der tak apne badan se teri khushbu aaye
tu baharon ka hai unawan tujhe chahunga


Poet  of  the Poem / Ghazal or Nazam :Qateel Shifai



No comments:

Post a Comment