Saturday, March 24, 2007

Koi Anjuman Hai Nigah Me Na To Hamsafar - Ghazal

Sad-Talash-Ghazal

Ghazal

Koi Anjuman Hai Nigah Me Na To Hamsafar Ki Talash Hai
Wo Jo Le Chaly Tere Dar Talak Usi Reh_Guzar Ki Talash Hai
Anjuman = Association; Hamsafar = Partner; Reh_Guzar = Thoroughfare
Ye Jo Ajnabi Sa Muqam Hai, Mera Apna Shehar Hai Dosto !
Isi Apne Shehar Ke Darmiyan Main Apne Ghar Ki Talash Hai
Muqam = Location; Shehar = City
Kabhi Mere Ishq Me Doob Kar, Sooye Anjuman Kabhi Piyar Se
Na Sahi To Behr-E-Jafa Sahi ! Teri Ik Nazar Ki Talash Hai
Doob = Drowned; Sooye = Sleep; Behr = Whatever the; Talash = Search
Mere Ishq Ki Hai Wo Dastan, Mere Perahan Ka Jo Chak Hai
Mein Mareez-E-Ishq Hun Dosto ! Mujhe Charahgar Ki Talash Hai
Parahan = Cloths; Chak = Rift; Charahgar = Doctor

No comments:

Post a Comment