Monday, March 26, 2007

Ik muamma hai samajhane ka na samajhane ka – Fani Badayuni



Ik muamma hai samajhane ka na samajhane ka
zindagi kahe ko hai khwab hai divane ka
zindagi bhi to pasheman hai yahan lake mujhe
dhundhati hai koi hila mere mar jane ka
haddiyan hain kai lipati hui zanjiron mein
liye jate hain janaza tere divane ka
tum ne dekha hai kabhi ghar ko badalate hue rang
aao dekho na tamasha mere gumkhane ka
ab ise dar pe leja ke sula de saqi
yun behakana nahi acha tere divane ka
hum ne chani hain bahot dair-o-haram ke galiyan
kaheen paya na thikana tere divane ka
har nafas umr-e-guzashta ke hai mayyat “fani”
zindagi naam hai mud mud ke jiye jane ka



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Fani Badayuni



No comments:

Post a Comment