Friday, March 23, 2007

Ghamzada Nahi Hota Ishara Nahi Hota



Ghamzada Nahi Hota Ke Ishara Nahi Hota
Ankh Un Se Jo Milti Hai To Kya Kya Nahi Hota


Jalwa Na Ho Ma,Nee Ka To Soorat Ka Asar Kya
Bulbul Gul – E- Tasweer Ka Shaida Nahi Hota


Allah Bachay Marz –E- Ishq Se Mujh Ko
Suntay Hain Ke Yeh Aarza Acha Nahi Hota



Tash Beh Tere Chehre Ko Kya Doon Gul E Tar Se
Hota Hai Shugufta, Magar Itna Nahi Hota


Hum Aah Bhi Kartay Hain To Ho Jatay Hain Badnam
Who Qatal Bhi Kartay Hain To Charcha Nahi Hota


Poet :  Akbar Allahabadi  


Urdu Version:


غمزہ نہیں ہوتا کہ اشارہ نہیں ہوتا
آنکھ ان سے جو ملتی ہے تو کیا کیا نہیں ہوتا


جلوہ نہ ہو معنی کا تو صورت کا اثر کیا
بلبل گلِ تصویر کا شیدا نہیں ہوتا


اللہ بچائے مرضِ عشق سے دل کو
سنتے ہیں کہ یہ عارضہ اچھا نہیں ہوتا


تشبیہ ترے چہرے کو کیا دوں گُلِ تر سے
ہوتا ہے شگفتہ مگر اتنا نہیں ہوتا


ہم آہ بھی کرتے ہیں تو ہو جاتے ہیں بدنام
وہ قتل بھی کرتے ہیں تو چرچا نہیں ہوتا


(سید اکبر حسین اکبر الہ آبادی)


Share By : Muhammad Saeed



No comments:

Post a Comment