Wo koi aur na tha chand khushk patte the
shajar se toot ke jo fasl-e-gul pe roye the
abhi abhi tumhen socha to kuch na yaad aaya
abhi abhi to hum ek-dusare se bichde the
tumhare bad chaman par jab ik nazar dali
kali kali mein khizan ke chirag jalate the
tamam umr wafa ke gunahgar rahe
ye aur baat ki hum aadmi to ache the
shab-e-khamosh ko tanhai ne zaban de di
pahad gunjate the dasht sansanate the
wo ek bar mare jin ko tha hayat se pyar
jo zindagi se gurezan the roz marate the
naye khayal ab aate hain dhal ke zahan mein
hamare dil mein kabhi khet lahlahate the
ye iratiqa ka chalan hai ki har zamane mein
purane log naye aadmi se darate the
‘nadeem’ jo bhi mulaqat thi adhuri thi
ki ek chehare ke piche hazar chehare the
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Nadeem Qasmi
No comments:
Post a Comment