Itna tuta hun ki chune se bikhar jayega
ab agar aur dua doge to mar jaunga
lekar mera pata waqt rayaga na karo
main to banjara hun kya jane kidhar jaunga
is taraf dhundh hai jugnu hai na chirag koi
kon pahachanega basti mein agar jaunga
zindagi main bhi musafir hun teri kashti ka
tu jahan mujh se kahegi main utar jaunga
yahan reh jayenge guladanon mein yadon ke nazar
main to khushbu hun fizaon mein bikahr jaunga
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Main Nazar
No comments:
Post a Comment