Wednesday, March 7, 2007

Islamic shayari




Nawaza jo kuch bhi mere Khuda ne mujhe,
Peechey waseela mere sarkaar ka hai,


Gaye jo aap “Sidratul-Muntaha” se bhi agey,
Rutbaa kitna ooncha mere sarkaar ka hai,


Ghulami-e-Rasool mein baha de gaye lahuu bhi apna,
Mera jism, Meri rooh, Sabhi mere sarkaar ka hai..




Aankhon Ko Ho Sakay To Zara Ashkbaar Rakh
Paiwastah Rah Shajar Se Ummeed-E-Bahar Rakh
Gham Se Jo Hai T-Alluq Usay Ustwaar Rakh
Rakhna Hi Hai Agar To Dil-E-Sogwaar Rakh
Sarchashma Terey Dil Main Muhabbat Ka Hai Agar
Sookhay Har Aik Hont Pe Aansoo Ki Dhaar Rakh
Aiy Maut Zindagi Ka Abhi Haath Main Hai Haath
Thamoonga Tera Haath Bhi, Tu Aitbaar Rakh



Beeta hai jo mere upar
Apne pyare nabi ko sunaon ga
Darood partha hua jab mein madine jaoga
Rootay rootay apna haal sunaao ga
Jab un kay qadam mubarak ki jali ko haath lagao ga
Namaz parnhay jab masjid e nabwi jaon ga
Apney ap ko un kay hawalay dey kar ayo ga
Ae kash mujhe mout a jaye
Yeh kah kar un ki chohkat say lout jayo ga
Apnay gunaho ko bakshavnay kay liye
apne dil ko azmnay kay liye dey ao ga
apni rooh ko sambhal jane kay liye
Apnay aqa kay mazaar par ja kar
Maafi mango ga apni har hatha par
Qali qameli wale ko batao ga apne khaalat
Kia kia beeti hain uski umaat kay
opaar unkay bichaar janay kay baad
Apni chahat ka izhaar karnay kay liye
Aaqa ka deedar karnay kay liye
So jaon ga unki chohkat par
Maafi ki talaab kay liye



Share with us more ..Islamic shayari .in comments section below



No comments:

Post a Comment