Tuesday, July 31, 2012

biwi chaye

Larka apni Maa se bola
Maa


Mujhe Dukh den
Tention den
Barbad Kr den
Mere Peeche Bhoot Lga den


Ammi Ne Kaha


Kambakht shortcut me Bol na
“BV Chahiye”..:-D

Kaheen umeed si hai dil ke nihankhane mein – Ahmed Mushtaq



Kaheen umeed si hai dil ke nihankhane mein
abhi kuch waqt lagega ise samajhane mein
mausam-e-gul ho ki patajhad ho bala se apni
hum ki shamil hain na khilane mein na murjhane mein
hum se makhfi nahi kuch rahguzar-e-shauq ka hal
hum ne ik umr guzri hai havakhvane mein
hai yun hi ghumate rahane ka maza hi kuch aur
aisi lazzat na pahunchane mein na reh jane mein
naye divanon ko dekhen to khushi hoti hai
hum bhi aise hi the jab aaye the virane mein
mausamon ka koi meharam ho to us se pucho
kitne patajhad abhi baqi hain bahar aane mein


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Mushtaq



Baal Khole Hue Guzri Hai Wafa Ki Dulhan

Baal Khole Hue Guzri Hai Wafa Ki Dulhan

Koi Mansoor Kahin Daar Pe Latka Hoga...

Baal Khole Hue

Raat Din Ki Tameez Thi

Wohi aahaten dr-o-baam pr,


Wohi rat-jagon k azab hen


Wohi adh-bujhi meri neend hy,


Wohi adh-jaly mere khwab hen


Kbi chaha khud ko sametna to bikhar k


aur b reh gay Hain jo kirchi kirchi


parry hoe mere saamny mere raaz hen


Ye na pooch kaisy basr kiye,


Shab-o-Roze kitny pehr jiye?


Kisy raat din ki tameez thi,


kisy yaad itny hisaab hain…?

kaisa Feel kar

Boy:
Aj kaisa Feel kar rahi ho?
Girl:
Kal rat to hadd he ho gaye, Uff 2 ghantay! meri to jaan he nikal gaye
Saaray kapray geelay ho gae
Pehlay to aik ghanta kartay thay
Magar kal to pooray 2 ghantay tak saans he nahi aaye
1 Ghanta bhe buhat tha
.
.
.
.
.
ye 2 Ghantay ki Load Shedding to jaan he nikal leti hai tongue.

Larka aadhi Raat ko

1 larki ne aadhi raat ko


Larkay ko SMS kiya k


Ghar aajao ghar koi nai hai


Maza aayga


Larka chala gya


waqai ghar pe koi nai tha


TALA LAGA THA


Submit By: admin

Meri pagal mohabat tmhen yaad aye



Meri pagal mohabat tmhen yaad aye gi
jab chand sitary chamak rahy hon
jab yadoon k phool baras rahy hon
jab deed ko nain taras rahy hon
jab ankhon se ansoo baras rahy hoon
Meri Pagal Mohabat tmhen yaad ayegi
jab tanhai se dil ghabraye gaa
jab tmhen akela pan sataye gaa
jab koi bhi na aye gaa
jab phool kitab main reh jae gaa
Meri Pagal Mohabat tmhen yad ayegi



Monday, July 30, 2012

Naqli note lekar

PATHAN naqli note lekar shop per surf lene gaya,


SHOP KEEPER:is me quaid-e-Azam ki topi nahi hai


PATHAN: gandi parri hai usi k liye to surf lene aya hon..

Me Zindagi Ki Sakhawat Pe Kaamp Uthta

Me Zindagi Ki Sakhawat Pe Kaamp Uthta Hun

K Be-Daregh Ye Zalim Luta Rahi Hai Mujhe...

Me Zindagi Ki

Beautiful Quote by Friend

A Beautiful Quote Said By A Friend…
”I don’t care when you disturb me,
But I get disturb when you don’t disturb me”:-)

kafan shayari



Jane kyu udaas or tanha hai mera kafan,
shayad mere intzaar main hai mera kafan


Tujh se ziada wafa nibha raha hai ,
mere saath dafn ho raha hai mera kafan


Khoob lag raha hai safaidi main surkh rang,
dekh teri hina se jagmaga raha hai mera kafan


Nazar na lag jaye meri laash ko kisi bewafa ki,
tujh se mera chehra chhupa raha hai mera kafan


Har nishani mere wajood ki saath dab jayegi aaj,
mera aakhri nisha bhi mita raha hai mera kafan


Mar kar bhi mere labon pe tera naam na aaye,
dekhk lay mere labon say b wafa nibha raha hai mera kafan


Samait ke mujh ko apni baahon main teri tarha,
tera har ehsaas mujhe dila raha hai mera kafan


Shayad ab kabhi tujh se mulaqat ho ke na ho,
tujh se bohat door mujhe le ja raha hai mera kafan



Mohabbat Ne Har Aashiq Ko Maut Ki Manzil Pahoonchaa Diya,.
Gham Se Jo Anjaan Tha Use Gham-e-Raah Dekhaa Diya,.


Tum Kyun Kafan Liye Ghoom Rahe Ho Dost-e-Jaanasheen,.
Mohabbat Ne To Binaa Kafan Hi Kitno Ko Kabar Mein Sulaa Diya



Na aana usse leke mere janaze mein,,
meri mohabbat ki toheen hogi..
Mein 4 logoon ke kandhe pe hounga,,
Or Meri JAAN paidal Hogi….


rukwa dena mera janaza gali me jab unka ghar aaye,
shayad woh khidki se jhhank le aur dil mera dhadak jaaye


Phool samajhte hain ki chaman badla hai,
Hanste hain sitare ki gagan badla hai,
Koi kabar ki khamoshi se to poocho,
Lash wahi hai, kafan badla hai..


Shaam bhi udas hogi raat bhi udas hogi,
Kafan me lipti meri laash hogi…
Ae dafna ke janewalon unse keh do,
Qabar me bhi unki yadein mere saath hogi..


Pyaar hi na karna tha,
toh dil lagaya kyun,
chehre se itni nafrat thi,
toh kafan hataya kyun


TUM JO AA JAATE TO KAAM BAN JAATAA
KISSAA-E-GHUM TAMAAM HO JAATAA
DHAK DETE JO TUM DAAMAN APNA
KAFAN KA INTEZAAM HO JAATAA


Koi dikha ke roye,
Koi chhupa ke roye,
Hamein rulane wale hamein rulake roye,
Marne ka maza to tab hai yaron
Jab kaatil bhi zanaaje par aake roye


Share with us more kafan shayari .in comments section below.



Sunday, July 29, 2012

Lottery lagi toh tum kya karogi

Husband: Agar mujhe lottery lagi toh tum kya karogi…?


Wife: Aadhe paise le kar Hamesha keliye may ke chali jaungi


Main bhi khush aur aap bhi khush
.
.
.
.
.
.
.
Husband: 20 Rs. ki lagi hai… ye le 10 aur nikal

Jashne Azadi Mubarak

They Join hands in Hands


Brave Pakistanis all


By uniting v stand
by dividing v fall


Jashne Azadi Mubarak


Allah Bless our country.

Yaad Ka Deep

Apni ankhon k sabi ashk baha kar sona


Tum meri yaad ka har deep bujha kar sona


Ek sitara bhi mery khayal ka baqi na rahy


Chandni shab k nishanaat mita kar sona


Drr lgta hay neend hi kaheen cheen na lay


Tera her roz meray khwab mein aa kar sona


Baad mey log gira dain to koyi baat nahi


Har tarf payar ki dewaar utha kar sona


Subeh hoty hi teray shehr se jana hay mujhay


Aaj ki raat zara mujhko mana kar sona….


Submit By: Muhammad Younus (03337723144)

Celebrate NATURE DAY

Celebrate NATURE DAY.


Apke khayal se meri NATURE Apko kesi lagti hy??


EGO
ZIDDI
ROMANTIC
ANGRY
HAPPY
SHY
SAD
INNCOENT
LOVELY
CARING


Plz reply Must

Saturday, July 28, 2012

Duniya mein kon kon na yak bar ho gaya – Khwaja Mir Dard



Duniya mein kon kon na yak bar ho gaya
par muh phir is tarf na kiya us ne jo gaya
phirati hai meri khak saba dar-ba-dar liye
aye chashm-e-ashkabar ye kya tujh ko ho gaya
aagah is jahan mein nahiin gair be khudan
jaga wahi idhar se jo mund aankh so gaya
tufan-e-noah ne to dubai zamin faqat
main nang-e-khalq sari khudai dubo gaya
baraham kaheen na ho gul-o-bulbul ke aashati
darta hun aj bag mein wo tund khu gaya
waiz kise darawe hai yom-ulhisab se
giriyan mera to nama-e-amal dho gaya
phulenge is zaban mein bhi gulzar-e-marafat
yan main zamin-e-sher mein ye tukhm bo gaya
aaya na aitadal par haragiz mazaj-e-dahar
main garche garm-o-sard-e-zamana samo gaya
aye “dard” jis ke aankh khuli is jahan mein
shabanam ke tarah jan ko apni wo ro gaya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Khwaja Mir Dard



Hum Jese Log

Karam karo sitam karo hum gila nhai kare.
Khazan main phol kabi khela nhai kare.
Khak main mela do lekan etna yad rakho.
Hum jese log dobara mela nhai karte.

Tum Ne Chup Reh Kar Sitam Aur Bhi Dhaya

Tum Ne Chup Reh Kar Sitam Aur Bhi Dhaya Mujh Par

Tum Se Ache Hain Mere Haal Pe Hansne Wale...

Tum Ne Chup

Samajh Kar Kaanch Ka Tukra Tarasha Mujh Ko

Samajh Kar Kaanch Ka Tukra Tarasha Mujh Ko Duniya Ney,
Bana Phir Bhi Nahi Kangan Teri Nazuk Kalayee Ka....

AURTO KA AITEMAD ARIEL

PAKISTAN BHR KI AURTO KA AITEMAD ARIEL


Mere husbnd ko khane ki bilkul tameez ni
Janwaro ki tara khana, phr hath b shirt se saaf kr lena.
Unki 1 hi shirt ha Me roz dho k soti thi
1 dn unke dost ne un pr paan ki peek phenk di.
Pehle to mene unko mara.
Phr mere Abu ne ARIEL ka kaha.
Ab me ARIEL unki pocket me hi daal deti hun
Jaha daag lage wahi beth k dho lete hen.
Muje ab apne husbnd itne pasnd hen k me kisi aur k bare me sochna pasnd b nhi karungi.

Friday, July 27, 2012

Mujh Se Naraaz Na Hua Karo - Sad Love Poetry


Tum Beshak Le Lo Jaan Meri,

Be-chain Rakho Din Raat Mujhe,

Tarsaya Kro Tarpaya Karo,

Chahe Milne Bhi Na Aaya Karo,

Aur Waady Bhi Na Nibhaya Karo,

Chahe Qaid Rakho Tum Khuwabo'n Main,

Din Raat Rakho Azaabo'n Main,

Meri Aankho'n Ko Purnam Kr Do,

Aur Zindagi Pekar-e-Gham Kar Do,

Lekin Meri Dukhti Rag Na Chua Karo,

Mujh Se Naraaz Na Hua Karo....!!

Tabeer sey mehrom

Tabeer sey mehrom meray khawab bohat thay,


Sada si kahani thi magar baab bohat thay.

Gale laga ki jo sunate the dil ki aahon ko



gale laga ki jo sunate the dil ki aahon ko
taras raha hun unhin ki hasin bahon ko
qadam qadam pe wo aankhen bicha bicha dena
zarur yaad to hoga tumhari rahon ko
duhai hai teri ae rahazan duhai hai
ki aj lut liya rahabar ne rahon ko
mile na phir tere daman mein daag un ki ‘shamim’
sharab-e-nab se dhoya hai jin ki aahon ko


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Shamim Jaipuri



Relation are like a glass

Relation are like a glass,


A scratch on one side will reflect on other side too.


Always handle feelings with care,


Because scratches can not be removed

Wisaal-E-Manzil-O-Gaam



Sunaa Hai Ho Bhii Chukaa Hai Firaq-E-Zulmat-E-Nuur
Sunaa Hai Ho Bhii Chukaa Hai Wisaal-E-Manzil-O-Gaam


Badal Chukaa Hai Bahut Ahl-E-Dard Kaa Dastuur
Nishaat-E-Wasl Halaal-O-Azaab-E-Hijr-E-Haraam


Jigar Kii Aag, Nazar Kii Umang, Dil Kii Jalan
Kisii Pe Chaaraa-E-Hijraan Kaa Kuchh Asar Hii Nahiin


Kahaan Se Aaii Nigaar-E-Sabaa, Kidhar Ko Gaii
Abhii Chiraag-E-Sar-E-Rah Ko Kuchh Khabar Hii Nahiin


Abhii Garaani-E-Shab Mein Kamii Nahiin Aaii
Najaat-E-Diida-O-Dil Kii Gharii Nahiin Aaii


Chale Chalo K Wo Manzil Abhii Nahiin Aaii



Love Is The Reason

Love is the reason
why you got that smile on your face,


but there is no guarantee
that it wont come with tears.

Thursday, July 26, 2012

Tum Aag Lagana Seekh Gaye



Takhreeb-E-Muhabat Asaan Hai Tameer-E-Muhabat Mushkil Hai


Tum Aag Lagana Seekh Gaye Tum Aag Bujhana Kia Jano


Tum Door Kharry Dekha Hi Kiye Ar Dobney Waly Doob Gaye


Sahil Hi Ko Tum Manzil Samjhy Tum Dard-E-Darya Kia Jano


Kab Dard Barha Kab Hook Uthi Kab Ashak Baha Q Aaah Khichi


Tum Gum Ho Baharon Mein Apni Tum Gham Ka Fasana Kia Jano


Tum Dard-E-Muhabat Kia Samjho Tum Dil Ka Tarpna Kia Jano


Aur Tum Roth Gaye Jab Jab Ham Sy Ham Tum Ko Mnaa Hi Lety Thy


Aik Baar Jo Agar Ham Roth Gaye Tum Ham Ko Manana Kia Jano


Takhreeb-E-Muhabat Asaan Hai Tameer-E-Muhabat Mushkil Hai


Tum Aag Lagana Seekh Gaye Tum Aag Bujhana Kia Jano..!!!!




Dil Hamara Toro Ge To Khud Bhi Toot Jaoge

Dil Hamara Toro Ge To Khud Bhi Toot Jaoge

Zinda Hum Na Rahe To Mar Tum Bhi Jaoge

Ye iltaja Hai Basa Lo Humain Ankhon Me

Sanwar Hum Bhi Jaenge Saj Tum Bhi Jaoge

Mujhe Chorne Ka Irada Kabhi Na Karna Warna

Toot Hum Bhi Jaenge Bikhar Tum Bhi Jaoge...

Dil Hamara Toro

Shola Hun Bharakne Ki Guzarish Nahi Karta

Shola Hun Bharakne Ki Guzarish Nahi Karta

Haq Muh Se Nikal Jata Hai Koshish Nahi Karta...

Shola Hun Bharakne

Mohabat Ka Nasha

Sharab ka nasha bhi hota hai


or


mohabat ka bhi nasha hota hai


lekin


furq sirf itna hai k


sharab ka nasha sula deta hai


or


muhabat ka nasha rula deta hai

Wednesday, July 25, 2012

Jigri Dost ki 3 Nishanian

Jigri Dost ki 3 Nishanian:


1- Kabi begherat fone nhi kry ga


2- Kameny ko kam kaho gy tu foran kahy ga, Ho jaye ga.. per ek din ka kam 10 din tak latka dy ga.


3- ZALEEL Larkiyon ko Poetry or humain….pathano sardaro waly msg kary ga
.
Hans mat
Tu bhi jigri dost hai

Faraz Naughty Sms

Tum kitne shauq se hathon me AINA pakar kar “FARAZ”
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
“APNE” sar me JU’WEN talash kar rhe ho:-)


Submitted By: Talha (+92300-8058989)

Love has never been about the genes



Love has never been about the genes,
But about beauty, and unforgiving grace.
The wolf that suckled Romulus and Remus
Had nothing in her heart but wrenching joy.
Oh, yes, of course, love also is a means,
Serving the survival of the race.
But more, it is a longing that redeems us,
An end itself no ending can destroy.


And so it is with mothers who love children
Not of their flesh, but of their nurturing.
The origin fades, the years of love remain
Vivid in the background of a life.


For Rome, the wolf will always be its kindred,
Ancestor who took fate’s offering
And made it hers through sacrifice and pain,
The legacy that would her long days light.



Baghawt ho jate hai

Kisi Pathr Numa DIL Pr B Dastk Ho Hi Jati Hai


K Hasrt Jag Jaye to Karamt Ho Hi Jati Hai


Kisi anjan Chehre Se Kisi Purlutf Lamhe me


Jo Karna Na B Chaho To MOHABAT Ho Hi Jati Hai


Kisi Khamosh Chehre Se Muslsl ashk Behne Pr


Chupana B Agr Chaho WAzaht Ho Hi Jati Hai


Kisi K Dur Jane Pr Umiden Toot Jane Se


Wafa Me Rog Milne Ki ShiKayt Ho Hi Jati Hai


Ye Tm ne B Suna Hoga Zmana Aise Kehta Hai


K Jb B Ishq Hota Hai Bghawt Ho Hi Jati Hai.

Tuesday, July 24, 2012

Whats The Matter

Santa: Whats the matter, today you are getting a lot of I love you messages.
Banta: Bhaji, I am not that lucky. Today I brought my wifes mobile!

Choza Sherni Se

Choza,sherni se: Drling


I LOVE U


Sherni:Abay single pasli,tu nay apni jan,body,height dekhi hai?


Choza:Sab choro
JAN-E-MAN,sir
Confidence dekho


Submit By: Umer (03006662430)

Acha waqt Guzarna

Sab se acha waqt guzarna hai to prho


“La-ilaha-ilallah-Muhammadur-Rasul-Allah ”


jisko bhi snd kroge wo lazmi parhega. Aur sawab Apko b milega.

Jaanu Humare Pyaar Ke

Boy:- Jaanu Humare Pyaar Ke Bare Me
Kisi Ko
Mat Batana…
.
.
.
Girl:- Tumhari Bahen Ko To Zaroor
Bataungi,
.
.
.
Kameeni Kehti Thi Koi Kutta Hi Hoga Jo
Tujhse
Pyaar Karega…
Hahahahahahahahaha

Monday, July 23, 2012

Devil sits in corner

When womens talk to eachother, the devil sits in the corner quietly and
.
.
.
.


Not Only Learns 😛 but


.
.
.
.


Notes Banata Hai Notes 😉 😛 😀

Ishq To Khud Hee Ho Jaata Hai



Ishq To Khud Hee Ho Jaata Hai…
Dil Bhi Apna Kho Jaata Hai…
Jab Aisa Ho Jaata Hai…
To Dil Bekaraar Ho Jaata Hai


Kyun Hota Hain Humko Pyaar…
Mujhko Nahi Pata Yaar


Itna Zaroor Pata Hai Mujhko…
Ek Din Ye Bhi Hoga Tumko


Jab Hoga Tumko Pyaar…
Hawa Mein Udoge Tum Bhi Yaar…
Khush Rahoge Hardam Tum…
Pyaar Karoge Pyaar Se Tum


Aaj Tumne Jisko Dekha Hai…
Shayad Who Hee Tumhara Apna Hai…
Abhi Chalega Pata Nahi…
Intezaar Mein Rahna Har Ghar



Sunday, July 22, 2012

Happy Forever

“If you wait for happy moments,
you will wait forever.”


“But if you start believing that you are happy,
you will be happy forever.”

Dont Take Life Too Seriously

Dont Take Life too Seriously.
Always Find Time to Smile.
Smile dont add Years to Ur Life But add More LIFE to Ur Years.
~Keep smiling

Saturday, July 21, 2012

Ibadat Shayari



Ibadat-E-Yaar Ko Aiya Hun Main Kafar Nahi
Kaise Keh Dun Tera Ghar Khuda Ka Ghar Nahi


Phir Kiyon Wo Saye Ki Tarha Mere Saath Hai,
Zamana Keh Raha Hai Wo Tera Hamsafar Nahi


Din Raat Tere Khayalon Main Khoia Rehta Hun,
Kab Huie Sehar Kab Dhali Shaam Khabar Nahi

Jeeney Ki Umeed

Mujhe jeeney ki umeed dobara dy do
Meri doobti kashti ko kinara dy do


Main dard ke sahil pe tanha khara hoon
Phir aa kar apni baahon ka sahara dy do


Tera daaman to bhara hai sitaron se
Mujhe sadqey mein ek sitara dy do


Mere angan mein aaj andhera hai bohat
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do


Chand lamhey tujhe dekhney ki hasrat hai bas
Kab maine kaha ke waqt apna sara dy do


Dekh to sahi tere dar pe aaya hoon main
Mujhe phir koi tasalli koi ishara dy do


From: Shabi_Rana (0333-9781720)

Winners never Quit

Victory is not the property of brilliants.


It is the crown for those who bow themselves in front of HARD WORK.
Remember! Winners never Quit and Quitters never win.


Submitted By: Mujtaba Hasan (+923137576224)

Friday, July 20, 2012

Mere chahto ka wajood

Toot sa gaya Meri Chahato Ka Wajod…


Aab k0i acha Bhe Lage t0w Hum Izhar nahe Karty…

Thursday, July 19, 2012

Two Powerful Energies

Patience and silence are two powerful energies.


Patience makes you mentally strong and silence makes you emotionally strong.


Have a nice day

Dastoor e chahat

Ye Shikwa Be-Waja Hai,Ye To Dastoor-e-Chahat hai,
K Jo Mehboob Hota Hai, Zraa Maghroor Hota Hai

Deewana Maat Kaho

Achcha Lagta Hai
******


Mujhe Ab Nind Ki Talaash Nahi..


Raton Tak Jaagna Achcha Lagta Hai


Mujhe Nahi Malum TUM Mari Kismat Me Ho Ya Nahi..


Magar Khuda Se Use Mangna Achcha Lagta Hai


Use Pyar Karna Sahi Hai Ya Nahi…


Par Us Aehsas Me Jina Achcha Lagta Hai


Fir Kabhi Ham Tumhare Sath Honge Bhi Ya Nahi…


Par Yaa Khuab Dekhna Achcha Lagta Hai


Pata Nahi Mujhe Haq Hai bhi Ya Nahi….


Par Uski Parwa Karna Mujhe Achcha Lagta Hai


Wo Mera He Ya Nahi..


Par Use Apna Kehna Achcha Lagta Hai


Bas Ab Yahi Achcha Lagta He

Apna To Ye Sochker Waqt

Apna To Ye Sochker Waqt Guzer Zata Hai
Kyu Dur Jane Ke Liye Koi Karib Aata Hai.


Wo Jane Kaise Apne Dilse Mujhe Bhula Baitha
Mai Ger Bhulna Chahu To Bhula Bhi Yaad Aata Hai.


Tab Nikherti Hai Kahin Jindagi Ki Asli Surat
Ashq Jab Aapke Daman Pe Bikher Jata Hai.


Tadap Tadap Ke Tujhe Taumra Yaad Karta Rahun
Kuchh Aur De Na Jakhm To Bher Jata Hai.


Yun To Mai Khud Bhi Tujhper Tabajjoh Nahi Deta
Mera Jehen Hai Ke Her Bar Udher Jata Hai.


Beshaq Bahar Sooni Sooni Si Lagti Hai
Bul Bul Ke Chale Jane Se Kya Bagh Ujad Jata Hai.

Tanhaiyoun K Dard Se

Tanhaiyoun K Dard Se Khoob Waqif Tha Wo Faraz
Phir Bhi Dunia Main Mujhe Tanha Banaya Usne..

Peetay The Jis Ke Saath Woh Saaqi Bara Haseen Tha

Peetay The Jis Ke Saath Woh Saaqi Bara Haseen Tha - 2 line poetry

Peetay The Jis Ke Saath Woh Saaqi Bara Haseen Tha,,,
Aadi Bana Ke Zalim Ne Ma'eKhana Badal Liyaa....!!

Wednesday, July 18, 2012

“Allah Sab ko RIZQ de ga”
Ye Uska Wada hai,
per sab ko BAKHSHNE ka WADA usne nahi kya!
Phir ham log Rizq men shaq Or
Maghfirat men yaqeen Kioon rakhte hen.

Haqiqi Mohabbat

Haqiqi Mohabbat


1 Mohabbat mein dil chahata hai k mehboob se batein kare.
(NAMAZ)


2 Mohabbat mein dil chahata hai k mehboob k liay khana peena chor de.
(ROZA)


3 Mohabbat mein dil chahata hai k mehboob pe apna maal luta de.
(ZAKAT)


4 Mohabbat mein dil chahata hai k mehboob k ghar k chakar lgaey.
(HAJJ)


5 Mohabbat mein dil chahata hai k mehboob pe apni jaan qurban kar de.
(SHAHADAT)


Pak hai Wo Zaat jo mohabbat k Laaiq hai.


Subhan ALLah,aim gee,

Wishing You A Happy Christmas

Wishing You a Happy Christmas
and to hope the New Year too.
Will be a very prosperous
Healthy and Happy Time for you..!!

You are The One 4 Me



You’re The One 4 Me
You’re The Clear One That I See
My Love To U Is Greater Than Life
And Sharper Than A Knife


There Is Nothing More I Can Do
More That To Love You


You Entered My Heart & I Locked U
The Day U Entered My Heart
Is The Day My Life Chose To Start
This Love Is More Than True

It’s Always Meant To Be With U
If U Changed Your Life To Another Way & Deep In My Heart You’ll Never Ever Get Away
&
You’re The One Always In My Mind You’re The 1 Hard To Find
You’re The 1 That’s Rare
You’re The 1 That Seems To Me Always Fair



Tuesday, July 17, 2012

Sad Poetry Sms in Hindi



Sad Hindi Poetry on Dardey Ishq


Bichrey To Dardey Ishq Ka Chara Na Kar Sake
Yoon Tarqe Aashiqi Bhi Gawara Na Kar Sake


Verna Vo Intezaar Me Sadiyaa Guzartey
Hum Hi Chale To Unko Ishara Na Kar Sake


Jo Aatishi Parasti They Vo Bhi Na Jaane Kyon
Apne Hi Ghar Me Aag Gawaraa Na Kar Sake



Usko Agar Thi Shehar Ki Gar Rounaqke Agar
Tanhaiyon Se Hum Bhi Kinara Na Kar Sake


Kuch Is Tarah Se Usne Bikhera Hume Yahan
Hum Aur Zindagi Me Bharosa Na Kar Sake


Share By : Haji Inayat Ali



naughty cricket commentator – adult sms

How does a cricket  comentator explain a girl  without clothes?


No cover , No extra cover , silly points , 2 fine legs.


A deep gali & some little grass on da pitch

Faraz Cheeni Sms

(”””)
(”””)
(”””)


Submit By: fahad (03052125043)

Allah ki rah mai

Jb tk tm apni pasandidah cheez se Allah ki rah mai kharach na kro ge, hargaz bhalai na pao ge,or tm jo kharch krte ho Allah taalh ba-khubi janta hai.
(Al-Imran 92)

Treasure Hunt For A Girlfriend

Send ur girlfriend on a treasure hunt. Start wid a clue at home,
dan send her on a tour of ur favorite spots all over town. Wen
she gets 2 da last hint, da prize shuld b u on 1 knee.

Pagl khany me

Pagl khany me sb Pagl dance kr rhe thy 1 pagl khamosh betha tha
Doctr ne socha ye pagal thek ho gya hy
Doc:tm khamosh Q bethy ho?
Pagl:bewaquf main ‘Dulhan’ hon

Gharoor kaha jata hai

Khaak Mutthi Mai Liye Qabar Ki Yeh Sochta Hun


Insan Jo MARTA Hai Tou Gharoor Kahan Jata Hai


By Allama Iqbal

Soorat or Seerat Main farq

SOORAT OR SEERAT Main Sb Se Bara Farq Ye Hai K


SOORAT DHOKA Deti Hai Jb K SEERAT PEHCHAN Krwati He.


Hazrat ALI(A.S)

Monday, July 16, 2012

Hum Haseen Hone Ka Dawa Tu Nahi Karte

Hum Haseen Hone Ka Dawa Tu Nahi Karte Wasi Magr

Jise Aankh Bhar Kar Dekh Len Uljhan Me Dal Dete Hain...

Hum Haseen Hone

Raat bhar ke tanhai se

Kab Do Ge Nijaat Humein RaatBhar Ki Tanhai Se,


Ae ISHQ Maaf Bhi Kar, Meri Umar Hi Kya Hai…….!!!

saf zahir hai nigahon se ki hum marate hain – Akhtar Ansari



magasaf zahir hai nigahon se ki hum marate hain
muh se kahate huye ye baat r darate hain
ek tasvir-e-muhabbat hai javani goya
jis mein rangon ke ivaz khunn-e-jigar bharate hain


isharat-e-rafta ne ja kar na kiya yaad hamen
isharat-e-rafta ko hum yaad kiya karte hain


aasman se kabhi dekhi na gai apni khushi
ab ye halat hain ki hum hanste hue darate hain
sher kahate ho bahut khub tum “akhtar” lekin
ache shayar ye suna hai ki jawan marate hain
 


Poet of the / Ghazal or Nazam :Akhtar Ansari



Usay khoya

1 Dost ne dosry dost se dosti khatam kardi..


2nd Dost udaas nahi tha..


kisi ne wajah poochi k tum udaas Q nahi ho?


To 2nd dost ne kaha k
Mene usay khoya jis ne kabhi mujhe nahi chaha..


Lekin


Us ne


Usay khoya jis ne usay har waqt chaha..
RESPECT YOUR
FRIENDS..

Musafir Buna Liya

Nikle the is aas pe k


kisi ko apna buna lenge


Ek khuwahish ne umar bhr


ka musafir buna dia…

Sunday, July 15, 2012

Teachers day poems in hindi



A teacher is like Spring,
Who nurtures new green sprouts,
Encourages and leads them,
Whenever they have doubts.


A teacher is like Summer,
Whose sunny temperament
Makes studying a pleasure,
Preventing discontent.


A teacher is like Fall,
With methods crisp and clear,
Lessons of bright colors
And a happy atmosphere.


A teacher is like Winter,
While it’s snowing hard outside,
Keeping students comfortable,
As a warm and helpful guide.


Teacher, you do all these things,
With a pleasant attitude;
You’re a teacher for all seasons,
And you have my gratitude!



Guru ka mahetv kabhi hoga na kum,
Bhale kar le kitni bhi unnati hum,
Waise to hai internet pe har prakaar ka gyaan,
Par ache bure ki nahi hai use pehchaan .


Nahin hain shabd kaise karoon dhanyavaad,
Bas chahiye har pal aap sabka aashirvaad,
Hoon jahan aaj mai usme hain bada yogdaan,
Aap sabka jinhone diya mujhe itna gyaan.


 Aapne banaya hai mujhe is yogya,
Ki praapt karoon mai apna lakshya,
Diya hai har samay aapne sahaara ,
Jab bhi laga mujhe ki mai haara.


Par main hoon kitna matlabi,
Yaad kiya na maine aapko kabhi,
Aaj karta hoon dil se aap sab ka sammaan,
Aap sab ko hai mera shat shat pranaam.


Share with us more Teachers day poems in hindi .in comments section below.



Life Tips before Tension Kills you

Life Tips.!
Kill the tension before tension kills U
Live ur life before Life leaves u.!
(AND MOST IMPORTANT)
Turn to ALLAH before u Return to ALLAH….

Likh Nai Sakta

Qalam Se Likh Nahi Sakta,


Pareshan Dil Ke Afsaanay


Hamary Saath Jo Hota Hai,


Bs Acha Nahi Hota

Saturday, July 14, 2012

Kisi Ki Aankh Se Sapne Chura Kar Kuch Nahi Milta

Kisi Ki Aankh Se Sapne Chura Kar Kuch Nahi Milta
Mundairon Se Charaghon Ko Bujha Kar Kuch Nahi Milta

Sakoon Un Ko Nahi Milta Kabhi Pardes Ja Kar Bhi
Jinhe Apne Watan Se Dil Laga Kar Kuch Nahi Milta

Na Jane Kon Se Jazbe Ki Yoon Taskeen Karta Hoon
Bazaahar To Tumhare Khat Jala Kar Kuch Nahi Milta

Usy Main Pyar Karta Hoon To Mujh Ko Chain Aata Hai
Wo Kehta Hai Usy Mujh Ko Sataa Kar Kuch Nahi Milta

Mujhe Aksar Sitaaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kisi K Hijar Me Neendain Ganwaa Kar Kuch Nahi Milta

Jigar Ho Jaye Ga Chalni Ye Aankhain Khoon Roengi
Wasi Befaiz Logon Se Nibha Kar Kuch Nahi Milta...

Kisi Ki Aankh Se

12 Rabi ul awal

12 Rabi ul awal
25/1/13
2+5+1+1+3=12
Rabiulawal mubarak.

Papa ne Kaha

Ek ladka fail hua to uske papa ne kaha,


Dekh dekh, pados ki ladki ko dekh wo tumhare sath hi padhti hai.
.
.
.
.
boy Dekh dekh kya dekh? usi ko dekh ke to fail hua hun

Height of Disturbance

Height of Disturbance


boy=Pen hai?


Girl=Nhi hai.


Boy=Pen hai?


Girl=Bola na nhi hai:-x


boy again=pen hai?pen,pen?


Girl=kaha na nhi hai,ab agar pucha to hathoray sy sar tor dnge:-@


boy=hathora hai’


girl=nhi


boy=acha to pen hai pen??

Meri Mohabbat Ki Bas Itni Si Kahani Hai



Meri Mohabbat Ki Bas Itni Si Kahani Hai
Dard Main Doobi Hui Yeh Zindagani Hai
Rista Hai Zakhm Ban Ke Aankh Ka Aansu
Rooh Par Jafaaon Ki Gehri Nishaani Hai
Saansen Hain Lekin Dhadkanen Nahin Hain
Lahu Thama Sa Hai, Na Koi Ravaani Hai
Kho Diya Jisne Umar Bhar Ka Sukoon
Muskurati Hai Phir Bhi, Ladki Deewani Hai !!



Bara Shoq Tha Unhe Mera Ashiyana Dekhne

Bara Shoq Tha Unhe Mera Ashiyana Dekhne Ka
Jab Dekhi Meri Ghareebi To Rasta Badal Lia...

Bara Shoq Tha

Silwatein Hain Mere Chehre Pe To Hairat Kiun

Silwatein Hain Mere Chehre Pe To Hairat Kiun Hai
Zindagi Ne Mujhe Kuch Tum Se Ziada Pehna...

Silwatein Hain Mere

girl was thirsty -funny sms

A girl was thirsty.


She saw an ALA-DIN Chairagh beside her


She touched & ordered jin k meri pyas bhujao


JIN: “PEPSI wali ua IMRAN HASHMI wali”? :)

Friday, July 13, 2012

The Sweetest Sentence By A Girl

The sweetest sentence by
a girl for her boy….
*i m jealous of the people who
ever hugged you
Because…
For a moment they hold my
world…… (^.^)

Khulta Kisi Pe Kion Mere Dil Ka Maamla - Sad Poetry

Khulta Kisi Pe Kion Mere Dil Ka Maamla,
Sheroon Ke Intekhaab Ne Ruswa Kia Mujhe…

Sad Poetry

Jab Tum Loat Aao

Jab TUM loat aao to saddiyon ki Umr lanaa.


K TERY sath mujhko Mukhtasir nahi rehnaa…..!!


Gud nyt :)

Akhiyan Wich Aa Ke

Akhiyan wich aa ke ruk jande ne hanju,
Palka te aa ke ruk jande ne hanju,
Bada Dil karde baha deva enna nu,
par tenu hasdeya vekh ke suk jande ne hanju!!

Thursday, July 12, 2012

You Are A DONKEY

You are a DONKEY


D 4 decent
O 4 outclass
N 4 nice
K 4 kind
E 4 excelent
Y 4 young

Jal Jao Khamoshi Se Kari Dhoop Main

Jal Jao Khamoshi Se Kari Dhoop Main Lekin
Apno Se Kabhi Saya-e-Deewar Na Maango...

Jal Jao Khamoshi Se

Galti Se Pichli Seat Pe Beth Gayi Thi

wife : Ghar nahi aa sakti..
Car ka stearing, gear, break sab chori ho gaya hai..
.
.
After 1hour,
SHe calls back : Aa rahi hu, galti se pichli seat pe baith gayi thi.

Chupake chupake rat din aansu bahana yad hai



chupake chupake rat din aansu bahana yad hai
hum ko ab tak aashiqi ka wo zamana yad hai


bahazaran iztirab-o-sad-hazaran ishtiyaq
tujhase wo pahale pahal dil ka lagana yad hai


tujhase milate hi wo bebak ho jana mera
aur tera daton mein wo ungali dabana yad hai


khinch lena wo mera parde ka kona daffatan
aur dupatte se tera wo munh chupana yad hai


jan kar sota tujhe wo qasa-e-pabosi mera
aur tera thukra ke sar wo muskurana yad hai


tujh ko jab tanha kabhi pana to azrahe-lihaz
hal-e-dil baton hi baton mein jatana yad hai


jab siva mere tumhara koi divana na tha
sach kaho kya tum ko bhi wo karkhana yad hai


gair ke nazaron se bachakar sab ke marzi ke khilaf
wo tera chori chipe raton ko aana yad hai


aa gaya gar vasl ke shab bhi kaheen zikr-e-firaq
wo tera ro ro ke mujhako bhi rulana yad hai


do-pahar ke dhup mein mere bulane ke liye
wo tera kothe pe nange paon aana yad hai


dekhana mujhako jo bargashta to sau sau naz se
jab mana lena to phir khud ruth jana yad hai


chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah
muddaten guzarin par ab tak wo thikana yad hai


berukhi ke sath sunana dard-e-dil ke dastan
aur tera hathon mein wo kangan ghumana yad hai


vaqt-e-rukhsat alvida ka lafz kahane ke liye
wo tere sukhe labon ka thar-tharana yad hai


bavajud-e-idda-e-ittaqa ‘hasrat’ mujhe
aj tak ahad-e-havas ka ye fasana yad hai


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Hasrat Mohani



Us Ki Aankhon Ka Pighalta Kajal

Us Ki Aankhon Ka Pighalta Kajal
Mere Shikway Baha Gaya Sary...

Wednesday, July 11, 2012

Exam ki Rat

Exam ki rat ko student ne toss kia


Head aya to


Sona ha


Tail aya to


Film dhake gy


khara rha to


Ganey sunygy


Or agr hawa me rha to


qasm se puri rat parhyngay:p:

Laa Tere Pairon Me Marham Laga Dun

Laa Tere Pairon Me Marham Laga Dun

Mere Dil Ko Thokar Marne Se Tujhe Chot To Aai Hogi...

Laa Tere Pairon

Tuesday, July 10, 2012

Do you Love me

Ek bikhari ek ladki ko prapose karta hai


Do you love


Ladki: sakal dekhi hai apnee Isse accha toh main mar jaungi.
.
.
.
Bikhari: kamini mar jayegi Par kisi gareeb ke kaam nahi ayegi


lolz :P:P

Sweet Sa Dost

SWEET sa mosam dekh kr apne


SWEET se friend ki


SWEET si yad i to socha k


SWEET sa SMS kar du ta k hamari SWEET se


friendship mein thori


SWEETNESS or bhar jaye


FROM: Anil Albert

Kale Raat D Syahi Utte

Kale Raat d Syahi Utte,
Chand di gwahi utte,
Soch de kore kagaj te,
Ik akhar Main ban java,
Tu bhule ta teri marji,
Main bhula ta mar java

Badalate waqt ka ik silsila sa lagata hai – Manzar Bhopali



Badalate waqt ka ik silsila sa lagata hai
ke jab bhi dekho use dusara-sa lagata hai


tumhara husn kisi aadmi ka husn nahi
kisi buzurg ke sachi dua sa lagata hai


teri nigah ko tamiz rang-o-nur kahan
mujhe to khun bhi rang-e-hina sa lagata hai


damag-o-dil hon agar mutmain to chaon hai dhup
thapeda lu ka bhi thandi hawa sa lagata hai


wo chat pe aa gaya betab ho ke aakhir
khuda bhi aj sharik-e-dua sa lagata hai


tumhara hath jo aaya hai hath mai mere
ab aitabar ka mausam hara-sa lagata hai


nikal ke dekho kabhi nafaraton ke pinjare se
tamam shahar ka “manzar” khula sa lagata hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Manzar Bhopali



Sexy Girl

Once upon a time there was a sexy girl.


.


.


.
.
.


Sham kero begharato MULK de halat vekho te apne jazbat vekho… !!!

Monday, July 9, 2012

Aankhen mujhe talvon se wo malane nahi dete – Akbar Allahabadi



aankhen mujhe talvon se wo malane nahi dete
arman mere dil ka nikalne nahi dete
khatir se teri yaad ko talane nahi dete
sach hai ki hamin dil ko sanbhalane nahi dete
kis naz se kahate hain wo jhunjhala ke shab-e-vasl
tum to hamen karavat bhi badalne nahi dete
paravanon ne fanus ko dekha to ye bole
kyon hum ko jalate ho ki jalne nahi dete
hairan hun kis tarah karun arz-e-tamanna
dushman ko to pahalu se wo talane nahi dete
dil wo hai ki fariyad se labrez hai har waqt
hum wo hain ki kuch muh se nikalne nahi dete
garmi-e-mohabbat mein wo hai aah se mane’
pankha nafas-e-sard ka jhalane nahi dete



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Akbar Allahabadi



Is Liye Toot Ke Rooya Hun Mein Aksar Mohsin

Is Liye Toot Ke Rooya Hun Mein Aksar ‘Mohsin’,
Kuch To Dil Khool Ke Jeene Ka Qareena Aaye…

Rooya

A Sardar Was Running With His Pregnant Wife

A sardar was running with his pregnant wife,
who was about to deliver,
when another sardar asked him,
O pernam singh, oye moti nu ais haal vitch le ke kithey puj rya vain,


Pernam singh replied, assi Pizza hut chaley aan, sunya aa othey free delivery hondi aaa.

Larkon ko dost banana

“Lakhon ko dost banana koi bari baat nai


Bari baat ye hai k asia Dost banao jo tumhara


Saath us waqt de jab larkon tumahre Dushman ho

Unhe Be Khush Rakhna

Khush Hoon Ajj Unki Yaadon Ko Yaad Kar Ke


Aye Khuda….


Unhein Bhi Khush Rakhna Jinhe Kabhi Meri Khushi Pyari Thi.!

Sirf ashk-o-tabassum mein ulajhe rahe – Ehsaan Danish



Sirf ashk-o-tabassum mein ulajhe rahe
hum ne dekha nahi zindagi ke taraf
raat dhalate jab unaka khayal aa gaya
tik-tiki bandh gai chandani ke taraf
kon sa jurm hai,kya sitam ho gaya
aankh agar uth gai, aap hi ke taraf
jane wo multafit hon kidhar bazm mein
aansuon ke taraf ya hansi ke taraf


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ehsaan Danish



Teacher Sardar Sa

Teacher: jo shakhs sun na skta ho us ko english me kya kehte hain?
Sardar: kaafi souchne k bd
” onu jo marzi ky lo oney kera sunna ay”

One Smile Begins A Friendship

One song can spark a moment,
One flower can wake the dream
One tree can start a forest,
One bird can herald spring.
One smile begins a friendship,
One handclasp lifts a soul.
One star can guide a ship at sea,
One word can frame the goal
One vote can change a nation,
One sunbeam lights a room
One candle wipes out darkness,
One laugh will conquer gloom.
One step must start each journey.
One word must start each prayer.
One hope will raise our spirits,
One touch can show you care.
One voice can speak with wisdom,
One heart can know what’s true,
One life can make a difference,
You see, its up to you! :)

Sunday, July 8, 2012

Ishq lamahadud jab tak rahanuma hota nahi – Jigar Moradabadi



Ishq lamahadud jab tak rahanuma hota nahi
zindagi se zindagi ka haq ada hota nahi
is se bad kar dost koi dusara hota nahi
sab juda ho jayen lekin gham juda hota nahi
bekaran hota nahi be-inteha hota nahi
qatara jab tak bad ke qulzam aashna hota nahi
zindagi ik hadasa hai aur aisa hadasa
maut se bhi khatm jis ka silasila hota nahi
dard se mamur hoti ja rahi hai qayanat
ik dil-e-insan magar dard aashna hota nahi
is maqam-e-qurb tak ab ishq pahuncha hai jahan
dida-o-dil ka bhi aksar vasta hota nahi
ALLAH ALLAH ye kamal-e-irtabat-e-husn-o-ishq
fasale hon lakh dil se dil juda hota nahi
waqt aata hai ik aisa bhi sar-e-bazm-e-jamal
samane hote hain wo aur samana hota nahi
kya qayamat hai ke is daur-e-taraqqi mein “jigar”
aadmi se aadmi ka haq ada hota nahi



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi



Hazar gardish-e-sham-o-sahar se guzaren hain – Sufi Ghulam Mustafa



hazar gardish-e-sham-o-sahar se guzaren hain
wo qafile jo teri rahguzar se guzaren hain
abhi havas ko mayyassar nahi dilon ka gudaz
abhi ye log muqam-e-nazar se guzaren hain
har ek naqsh pe tha tere naqsh-e-pa ka guman
qadam qadam pe teri rahguzar se guzaren hain
na jane kon si manzil pe ja ke ruk jayen
nazar ke qafile divar-o-dar se guzaren hain
kuch aur phail gain dard ke kathin rahen
gam-e-firaq ke mare jidhar se guzaren hain
jahan surur mayyassar tha jam-o-mai ke bagair
wo maikade bhi hamari nazar se guzaren hain
 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum



Tumhain Maloom Hai Ham Ne



Tumhain Maloom Hai Ham Ne
Kisi K Hijar Main Ye Zindagi Kaise Guzari Hai


Har Ik Khusboo Ki Aahat Per
Guman Us Ka Guzarta Hai
Har Ek Saat Pe Dil Aankhon Main Aaker Beth Jata Hai
Kai Pehlo Badalti Khuwahishain Hathon Ko Phelaie
Duain Mangti Aur Hanpti
Dil Se Guzarti Hain


Magar Jo Hijar Lahaq Hai
Wo Jism-O-Jan Ki Deewarain Girata Hai
Umeedo Beem Ki Aankhon Se
Beenai K Sab Manzaroon Ko Khak Karta Aur Mitata Hai


So Ham Bhi Khak Hain
Aur Khak Ki Qismat Main Likha Gia Hai


Be-Aman Rehna
Noshi Gilani



1 Pathan Cinema Mai Film Dekh Raha Tha

1 Pathan Cinema mai Film dekh raha tha.
.
Film mai 1 Shair dowarty howe araha tha.
.
Pathan ne dekha tu dar gia, owr apni chadir kandhy pa dal kar bhaagny laga
Logo ne kaha: Khan Sahib mat daro, yai tu film hai
.
Pathan: Wo tu mujh ko bhi pata hai ke yai film hai, lekin wo tu janwar hai, usko kia pata

Tumhare khat mein naya ik salam kis ka tha – DaaG Dehlvi



Tumhare khat mein naya ik salam kis ka tha
na tha raqib to aakhir wo naam kis ka tha
wo qatl kar ke har kisi se puchate hain
ye kam kis ne kiya hai ye kam kis ka tha
wafa karenge nibhayenge baat manenge
tumhen bhi yaad hai kuch ye kalam kis ka tha
raha na dil mein wo be-dard aur dard raha
muqim kon hua hai maqam kis ka tha
na puch-pach thi kisi ke na aav-bhagat
tumhari bazm mein kal ehatamam kis ka tha
hamare khat ke to purze kiye padha bhi nahi
sun jo tum ne ba-dil wo payam kis ka tha
inhin sifat se hota hai aadmi mashahur
jo lutf aap hi karte to naam kis ka tha
guzar gaya wo zamana kahen to kis se kahen
khayal mere dil ko subah-o-sham kis ka tha
har ek se kahate hain kya “dag” bevafa nikala
ye puche in se koi wo gulam kis ka tha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : DaaG Dehlvi



Sukoon Ki Kami Mehsus

Jab Tum Sukoon Ki Kami Mehsus Karo To Apne Rab K Huzoor Tauba Karo,


Q k insan k Gunaah he hen jo Dil Ko Bechain Rakhte Hen

Saturday, July 7, 2012

Khamosh Zindagi Ko Basar Kar Rahe Hain

Khamosh Zindagi Ko Basar Kar Rahe Hain Hum
Gehray Samandar Me Safar Kar Rahe Hain Hum...

Khamosh Zindagi Ko

nafs dia lekn

Allah Tala ne janwr ko nafs dia lekn aqal nai di


Frishto ko aqal di lekin nafs nai dia


Jb k insan ko aqal b di or nafs b


Ab agr insan aqal se kam le kr nafs pr qabo pa le to wo farishto se afzal hai


Or agr wo aqal ko chor k nafs ka ghulam bn jae to janwr se bdtar ho jata hy!

Friday, July 6, 2012

Shåhkaår Ki Tåkmeel

Be-Rabt Si Tehreer Ibaarat Nahi Höti


Hathön Ki Lakirön Main Tö Kismät Nähi Höti


Säjdày Mäin Dikhäwä Hö Tö Såjdå Nähi Hötä


Gärdån K Jhukåny Så Ebädät Nähi Høti


Wø Shåhks Muhåbät Se Håmeshå Ràhå Mehròm


Aurun K Lye Jis Men Muhåbàt Nåhi Høti


Chåhråy Kå Singhår Kàbhi Kåäm Nå Ayå


Seeråt K Binå Køi B Suråt Nåhi Hòti


Shåhkaår Ki Tåkmeel Men Shåmil Nå Hø Agår Fikår


Tåsveer To Bån Jåti Hå Muråt Nåhi Høti..

Khaak pr aksar

Beth jaata hoon Khaak pr aksar..!!!
Apni Auqaat Achi Lagti hai..!!!

Urdu Maa poetry 2012 wishes

Meri pyar ki list mein hai sirf tumhara naam
Selection ki bhi list mein hai sirf tumhara naam
Tum hi meri maa aur meri dost ho
Mera pyaar hamesha tumhare saath ho.

Thursday, July 5, 2012

Phir Yoon Hua K Sath Tera Chorna Para

Phir Yoon Hua K Sath Tera Chorna Para

Saabit Hua K Laazim-O-Malzoom Kuch Nahi...

Phir Yoon Hua K

Mita De Apni Hasti Ko Ager Kuch Martaba Chaiye - Inspirational

“Mita De Apni Hasti Ko Ager Kuch Martaba Chaiye,
Ke Dana Khak Mein Mil Kar Gul-e-Guraz Banta Hai…”

“Muqaddar Jin Ke Unche Aur Aala Bakht Hote Hain,
Zindagi Mein Unhi Ke Imtehan Bhi Sakht Hote Hain….”

Inspirational Poetry

Wednesday, July 4, 2012

Kia Naraz hy Bacha

Peer BaBa Arz Karty hain…


Dil hy sacha aur dimaag hy kacha Wah wah.
Dil hy sacha aur dimaag hy kacha.


Tery msgs nahi aa rahy hain Kia naraz hy bacha..?

Hath uthe hain magar lab pe dua koi nahi – Ahmed Faraz



hath uthe hain magar lab pe dua koi nahi
ke ibadat bhi wo jis ke jaza koi nahi
ye bhi waqt aana tha ab to gosh har aavaz hai
aur mere barbad-e-dil mein sada koi nahi
aa ke ab taslim kar lain tu nahi to main sahi
kon manega ke hum mein bevafa koi nahi
waqt ne wo khak udai hai ke dil ke dasht se
qafile guzri hain phir bhi naqsh-e-pa koi nahi
khud ko yun mahasur kar baitha hun apni zat mein
manzilen charon taraf hai rasta koi nahi
kaise raston se chale aur kis jagah pahunche ‘faraz’
ya hujum-e-dostan tha sath ya koi nahi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



China Da Radio

Doctor: Ap K Father Ki Body Mein White Cell Khatm ho gaye Han


Sardar Bahir Gya or thori Dair Baad Aa kr Bola:


Doctor Sb White to nhi Mily Ye Red Toshiba K Mily Han Yehi Daal Do


Doctor: anni deya ay China Da Radio Nahi..


abba ae tera..!

Wo Jin Ki Aankhon Se Chamakte The Wafa

Wo Jin Ki Aankhon Se Chamakte The Wafa K Moti
Yaqeen Mano Qasam Le Lo Wo Aankhein Bewafa Nikli...

Submitted By: Shezada Usman Jutt

Tuesday, July 3, 2012

ALLAH is ready to accept

**** Tauba *****


Anytime, anyhow, anywhere more and more


ALLAH is always ready to accept

Jag mein aakar idhar udhar dekha – Khwaja Mir Dard



jag mein aakar idhar udhar dekha
tu hi aaya nazar jidhar dekha
jan se ho gaye badan khali
jis taraf tune aankh bhar ke dekha
nala fariyad aah aur zari
aap se ho saka so kar dekha
un labon ne ke na masihai
hum ne sau -sau tarah se mar dekha
zor aashiq mizaj hai koi
“dard” ko qisa-e-mukhtasar dekha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Khwaja Mir Dard



Sardar As A Operator

1 Sardar ko telenor me operatr ki job mil gae,


pehlay hee din usy mar k nekal dia.


Becoz 1st cal: Sir meri telenor ki sim blok ho gyi hai,


Sardar: Tay paagla Zong Le ley.

One Day U Will Ask Me

One day u will ask me:
What is more important to you,
me or your life?


I will say: my life??
You will walk away from me
without knowing that U R MY LIFE!!!

1 Sardar ke Mozay

1 Sardar k mozay Se itni badbo Aati K Jahan


jata Log Bhag jate Uski


Bv ne New mozay Lakr Deye or


kaha k mare bhai ki shadi ka Function hy


New mozay pehan kr ana.


Sardar jb Gaya to Log bhag Gye.


B.v (Ghuse se) New mozay Nhi Pehan k aye?


Sardar Mjhe pta Tha tu Yaqin Ni kregi


is Lye Purane sath Laya hon.

Monday, July 2, 2012

Peeche se

1 sardar g


ki car k peeche likha tha:


“SAWAN KO ANEY DO”


Peeche se


aik pathan ne


truck thok diya.


Truck par


likha tha,


“AAYA SAWAN JHOOM K”

Eyt Pe Naqsh



Eyt Pe Naqsh Banaya Tha
Kal Koi  Sapno Mein Aaya Tha
Aankhon Mein Ab Bhi Tasveer Hai Uski
Uski Aankhon Sey Jaam Churaya Tha


Shab Ko Tarey Ginta Hoon Main
Chanda Ko Chooney Ki Koshish Hooon Karta
Suraj Ki Garmi Mein Tapta Hoon Dinbhar
Taroon Ney Merey Sang Naghma Gaaya Tha



Na B Naghma Hai Na Koi Naqsh Hai
Tasveer Nahin Hai Aankhon Mein
Taron Ka Ginna Choot Gaya Hai
Hai Woh Kaisa Dard Paaya Tha.


Mudassir



Every Love Story

Why in every love story sister suports brother but brother doesnt suport sister…..?


bcoz sister knows what love is..


and brother knows what boys are..:-D


😉

Be-Khabar Anjuman-e-Naaz Me Sone Wale

Be-Khabar Anjuman-e-Naaz Me Sone Wale

Raat Bhar Tujh Ko Pukara Meri Tanhai Ne...

Be-Khabar Anjuman

Sunday, July 1, 2012

Urdu freindship sms

Forgetting friend is a crimeForgetting friend is a
Crime
Ignoring them is a
Shame
Liking them is a
Pleasure
Thinking of them is a
Necessity
& disturbing them


‘Oye! Haq banta hai na yr!’


Submit By: Zain Shuja

Funny 3 idiots film Jokes

Teacher: 3 idiots film se ap ko kya lesson mila?


Pappu: miss yehi k Enginering parh kr b medical ki bachi phasai ja skti hai.


Miss:shut up & get out.


Bubblo: Miss men btaon?


Miss: Very good. Batao!


Bubblo: Miss Kiss krty huay Naak Beech mn nhi ati.


Miss: U also get out.


Pinki: Miss men btaon?


Miss:i think u r brilliant studnt.. Tm sahi btao gi..


Pinki: Miss doctor k elawa engineer b delivery kr skta hai :)


Miss: Lakh lanat :

Mahfil me Rula diya

Tujhe Kya Khabar Teri Yaad Ne Mujhe Kis Tarah Se Sata Diya,


Kabhi Akele Me Hasa Diya Kabhi Mahfil Me Rula Diya