gale laga ki jo sunate the dil ki aahon ko
taras raha hun unhin ki hasin bahon ko
qadam qadam pe wo aankhen bicha bicha dena
zarur yaad to hoga tumhari rahon ko
duhai hai teri ae rahazan duhai hai
ki aj lut liya rahabar ne rahon ko
mile na phir tere daman mein daag un ki ‘shamim’
sharab-e-nab se dhoya hai jin ki aahon ko
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Shamim Jaipuri
No comments:
Post a Comment