Ibadat-E-Yaar Ko Aiya Hun Main Kafar Nahi
Kaise Keh Dun Tera Ghar Khuda Ka Ghar Nahi
Phir Kiyon Wo Saye Ki Tarha Mere Saath Hai,
Zamana Keh Raha Hai Wo Tera Hamsafar Nahi
Din Raat Tere Khayalon Main Khoia Rehta Hun,
Kab Huie Sehar Kab Dhali Shaam Khabar Nahi
Mujhko Mujhi Main Dhondhti Hai Begano Ki Tarha,
Mat Dilao Mujhay Yakee Yeh Uski Nazar Nahi
Mujhay Kitaab Main Rakh Kar Wo Bhool Gaya Shayad,
Main Kaise Keh Doon Ki Usko Meri Qadar Nahi
Veeran Bastiyon Ka Bashinda Hoon Mujhay Na Darao,
Sab Kush To Lut Chuka Hai Ab Kisi Ka Dar Nahi
Ab ‘Veer’ Ko Koi Khushi Koi Ghum Na Dena Yaro,
Aakhir To Ek Paimana Hoon Main Koi Sagar Nahi
No comments:
Post a Comment