hazar gardish-e-sham-o-sahar se guzaren hain
wo qafile jo teri rahguzar se guzaren hain
abhi havas ko mayyassar nahi dilon ka gudaz
abhi ye log muqam-e-nazar se guzaren hain
har ek naqsh pe tha tere naqsh-e-pa ka guman
qadam qadam pe teri rahguzar se guzaren hain
na jane kon si manzil pe ja ke ruk jayen
nazar ke qafile divar-o-dar se guzaren hain
kuch aur phail gain dard ke kathin rahen
gam-e-firaq ke mare jidhar se guzaren hain
jahan surur mayyassar tha jam-o-mai ke bagair
wo maikade bhi hamari nazar se guzaren hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
No comments:
Post a Comment