Tuesday, July 3, 2012

Jag mein aakar idhar udhar dekha – Khwaja Mir Dard



jag mein aakar idhar udhar dekha
tu hi aaya nazar jidhar dekha
jan se ho gaye badan khali
jis taraf tune aankh bhar ke dekha
nala fariyad aah aur zari
aap se ho saka so kar dekha
un labon ne ke na masihai
hum ne sau -sau tarah se mar dekha
zor aashiq mizaj hai koi
“dard” ko qisa-e-mukhtasar dekha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Khwaja Mir Dard



No comments:

Post a Comment