Sirf ashk-o-tabassum mein ulajhe rahe
hum ne dekha nahi zindagi ke taraf
raat dhalate jab unaka khayal aa gaya
tik-tiki bandh gai chandani ke taraf
kon sa jurm hai,kya sitam ho gaya
aankh agar uth gai, aap hi ke taraf
jane wo multafit hon kidhar bazm mein
aansuon ke taraf ya hansi ke taraf
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ehsaan Danish
No comments:
Post a Comment