Kaheen umeed si hai dil ke nihankhane mein
abhi kuch waqt lagega ise samajhane mein
mausam-e-gul ho ki patajhad ho bala se apni
hum ki shamil hain na khilane mein na murjhane mein
hum se makhfi nahi kuch rahguzar-e-shauq ka hal
hum ne ik umr guzri hai havakhvane mein
hai yun hi ghumate rahane ka maza hi kuch aur
aisi lazzat na pahunchane mein na reh jane mein
naye divanon ko dekhen to khushi hoti hai
hum bhi aise hi the jab aaye the virane mein
mausamon ka koi meharam ho to us se pucho
kitne patajhad abhi baqi hain bahar aane mein
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Mushtaq
No comments:
Post a Comment