hath uthe hain magar lab pe dua koi nahi
ke ibadat bhi wo jis ke jaza koi nahi
ye bhi waqt aana tha ab to gosh har aavaz hai
aur mere barbad-e-dil mein sada koi nahi
aa ke ab taslim kar lain tu nahi to main sahi
kon manega ke hum mein bevafa koi nahi
waqt ne wo khak udai hai ke dil ke dasht se
qafile guzri hain phir bhi naqsh-e-pa koi nahi
khud ko yun mahasur kar baitha hun apni zat mein
manzilen charon taraf hai rasta koi nahi
kaise raston se chale aur kis jagah pahunche ‘faraz’
ya hujum-e-dostan tha sath ya koi nahi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz
No comments:
Post a Comment