Jane kyu udaas or tanha hai mera kafan,
shayad mere intzaar main hai mera kafan
Tujh se ziada wafa nibha raha hai ,
mere saath dafn ho raha hai mera kafan
Khoob lag raha hai safaidi main surkh rang,
dekh teri hina se jagmaga raha hai mera kafan
Nazar na lag jaye meri laash ko kisi bewafa ki,
tujh se mera chehra chhupa raha hai mera kafan
Har nishani mere wajood ki saath dab jayegi aaj,
mera aakhri nisha bhi mita raha hai mera kafan
Mar kar bhi mere labon pe tera naam na aaye,
dekhk lay mere labon say b wafa nibha raha hai mera kafan
Samait ke mujh ko apni baahon main teri tarha,
tera har ehsaas mujhe dila raha hai mera kafan
Shayad ab kabhi tujh se mulaqat ho ke na ho,
tujh se bohat door mujhe le ja raha hai mera kafan
Mohabbat Ne Har Aashiq Ko Maut Ki Manzil Pahoonchaa Diya,.
Gham Se Jo Anjaan Tha Use Gham-e-Raah Dekhaa Diya,.
Tum Kyun Kafan Liye Ghoom Rahe Ho Dost-e-Jaanasheen,.
Mohabbat Ne To Binaa Kafan Hi Kitno Ko Kabar Mein Sulaa Diya
Na aana usse leke mere janaze mein,,
meri mohabbat ki toheen hogi..
Mein 4 logoon ke kandhe pe hounga,,
Or Meri JAAN paidal Hogi….
rukwa dena mera janaza gali me jab unka ghar aaye,
shayad woh khidki se jhhank le aur dil mera dhadak jaaye
Phool samajhte hain ki chaman badla hai,
Hanste hain sitare ki gagan badla hai,
Koi kabar ki khamoshi se to poocho,
Lash wahi hai, kafan badla hai..
Shaam bhi udas hogi raat bhi udas hogi,
Kafan me lipti meri laash hogi…
Ae dafna ke janewalon unse keh do,
Qabar me bhi unki yadein mere saath hogi..
Pyaar hi na karna tha,
toh dil lagaya kyun,
chehre se itni nafrat thi,
toh kafan hataya kyun
TUM JO AA JAATE TO KAAM BAN JAATAA
KISSAA-E-GHUM TAMAAM HO JAATAA
DHAK DETE JO TUM DAAMAN APNA
KAFAN KA INTEZAAM HO JAATAA
Koi dikha ke roye,
Koi chhupa ke roye,
Hamein rulane wale hamein rulake roye,
Marne ka maza to tab hai yaron
Jab kaatil bhi zanaaje par aake roye
Share with us more kafan shayari .in comments section below.
No comments:
Post a Comment