Jo Shakhs Sary Shehar Me Piyar Banta Hai..
Friday, July 31, 2009
Akele Waris Hun Uski Tamam Nafraton Ka
Jo Shakhs Sary Shehar Me Piyar Banta Hai..
Shaadi Ke Pehle Shaadi Ke Baad
Shaadi Ke Pehle – Maine Pyar Kiya
Shaadi Ke Baad – Ye Maine Kya Kiya?
Shaadi Ke Pehle – Kuch Kuch Hota Hai
Shaadi Ke Baad – Kuch Nahi Hota Hai
Shaadi Ke Pehle – Dil To Pagal Hai
Shaadi Ke Baad – Dil To Pagal Tha
Shaadi Ke Pehle – Ek Duje Ke Liye
Shaadi Ke Baad – Sirf Bachcho Ke Liye
Shaadi Ke Pehle – Dilwale Dulhaniya Le Jayenge
Shaadi Ke Baad – Baaki Log Sukhi Ho Jayenge
Shaadi Ke Pehle – Chandramukhi
Shaadi Ke Baad – Jwaalamukhi
Shaadi Ke Pehle – Kuwara Baap
Shaadi Ke Baad – Bechara Baap
Shaadi Ke Pehle – Titanic
Shaadi Ke Baad – Mortgage
Shaadi Ke Pehle – Hum Aapke Hai Koun?
Shaadi Ke Baad – Barbadi Ka Kaaran
Shaadi Ke Pehle – Mere Sapno Ki Rani
Shaadi Ke Baad – Chutki Ki Amma
Shaadi Ke Pehle – Kabhi Kabhi
Shaadi Ke Baad – If You Are Lucky
Shaadi Ke Pehle – Aao Pyar Karen
Shaadi Ke Baad – Aur Bhi Kuch Kaam Karen?
Shaadi Se Pehle – Biviho To Esi
Shaadi Ke Baad – Bivi Hai Kesi ?
Shaadi Se Pehle – Hero No. 1
Shaadi Ke Baad – Cooli No. 1
Sochta Hoon K Usy Neend Bhi Aati Hogi
Black Tears Sour After Taste
Black Tears Sour After Taste
As Death Washes Away
The Pain Is Loud
How Do I Know When The Thoughts Are Dead?
How Do I Know When The World I Live In
Doesn’t Exist? The Knives Are Shiney
The Blood Is Rotting
And The Smell Is Disgusting
But There’s Nothing Better Yet
What Can I Say To Turn Your Mind Around
What Can I Do To Make You Think My Way?
There’s No More Dreams I Can Invade
No Spiral That Tumbles Down
No Circle That Collapses In My Path
The Sky Is Red The Clouds Are Blood
And They’re Exploding Above My Head
The Red Is Falling Covering My World
That Is Non-Existant
And There’s Nothing I Can Do About It
Thursday, July 30, 2009
Apne rehne tak
Kitabon k wrqo ko palat kr sochta hun
Yun palat jaye zindgi to kya bat hai.
Khwabon me roz milta hai jo
Haqiqat me aaye to kya bat hai
Kuch log mtlab k liye dhoondty hain mjhe
Bina mtlab aayen to kya bat hai.
Qatal kr k to sub le jaingy dil mera
Koi baton se le jaye to kya bat ha.
Jo sharifon ki shrafat me bat na ho
Wo sharabi keh jaye to kya bat ha.
Apne rehne tak to khushi dunga sbko
Jo kisi ko meri mot pe khushi mil jaye to kya bat
Wednesday, July 29, 2009
Cutest Story Ever
Cutest Story Ever
kid:mom i luv u more dan u love me
Mom:how can u pruv dis my son
Kid:bcuz u’ve 2 sons n i’ve only 1 mother.
Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha
Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha, Sare Bazm Raat Ye Kya Hua
Meri Aankh Kaise Chhalak Gayi Mujhe Ranj Hai Ye Bura Hua
Meri Zindagi Ke Charagh Ka Ye Andaaz Koi Nayaa Nahin
Kabhi Raushni, Kabhi Teergi, Kabhi Jalaa Hua Kabhi Bujha Hua
Mujhe Raaste Mein Pada Hua Kisi Badnaseeb Ka Khat Mila
Kahin Khoon-E-Dil Se Likha Hua, Kahin Aansuon Se Mita Hua
Jo Nazar Bacha Ke Guzar Gaye, Mere Saamne Se Abhi Abhi
Ye Mere Sheher Hi Ke Log The Mere Ghar Se Ghar Mila Hua
Mujhe Humsafar Bhi Mila Koi, To Shikasta Haal Meri Tarah
Kahin Raaston Ka Lutaa Hua Kahin Manzilon Ka Thaka Hua
Tuesday, July 28, 2009
This Is The Day
This is the day,
That Our nation sings
This is the day
That the liberty bell starts to ring
This is the day
We all start to remember
What We stand for
and to celebrate our Independence
We stand up high, as We
All start to cry
As we think about,
All that died
For you, for me, for our whole country
Risking there life
Each and everyday here is a salute
To all that lay …
Happy Independence Day
U r definitely in KHYBER PAKHTUNKHWA
HOW TO IDENTIFY DIFFERENT PARTS OF PAKISTAN:
Scenario-1 Two guys are fighting.
A third guy comes along and tries to make peace.
The first two get together and beat him up. Thats Lahore!
Scenario – 2 Two guys are fighting.
A third guy comes along, sees them fighting and walks on.
YOURE IN karachi 😀
Scenario – 3 Two guys are fighting.
A crowd gathers to watch.
A guy comes along and quietly opens a Chai-stall. Thats Multan 😀
Scenario – 4 Two guys are fighting.
Third guy comes from nearby house and says,
dont fight in front of my place, go sum where else and keep fighting. Thats Islamabad 😀
Scenario- 5 Two guyz are fighting! They take time out. Cal their frnds and now 50 people are fighting.
U r definitely in KHYBER PAKHTUNKHWA…!:-D
Raat k Sannatte me
Kesa lgta hai jb Raat k sannatte me HAWA k jhonkon k Sung
Khamoshi se chalty Hue koi Chupke se Aaye
Ap ko tham le Or kahe
Chal Shabash KAKA Mobile Kad
Google is a girl
Question-Google is a girl or
a boy?????
.
.
.
.
.
.
.
.
. Answer-Google is a girl.
She won’t let u complete d
whole sentence, She start guessing &
suggesting …. 😀
2 lines Naoughty shayari
Har ek se kahate hai.n ke “Daag” bevafaa nikalaa
Ye puuchhe in se ko_ii vo Gulaam kis kaa thaa
Tum bhi majabuur ho hum bhi majabuur hai.n
Be-vafaa kaun hai baa-vafaa kaun hai
Har kisko dil lagane ki saza milti hain
Hum toh asqkon mein unhe doonte hain
Monday, July 27, 2009
Tit For Tat
My ATTITUDE in exams.
They give me questi0ns Which i don’t know.So…..
I give them answers which they d0nt know.:-)
Tit for tat…:-P
Cute Sweet Friend Sms
Hi.. My cute, sweet, stylish, & most beautiful frnd! How r u?
.
.
.
Khush ho gaye na?:-)
Ab Allah Hafiz!
Mein doosryan naal v shugal lana ae,
😛
Azadi ka Din zanjeerain ghulami ke
Abhi tak paun mein chimtin hain zanjeerain ghulami ke..,
Din aajata hai azaadi ka per azaadi nahi aati…
Miss You Good Morning Sms
Miss u..
Wen I smell any roseMiss u..
Wen I taste any sweetMiss u..
Wen I look at the moonButSpecialy Miss u..
Wen I raise my hands for pray..!
Güd Mörn¡ng
Hijr Ke Sajdon Se
Main Hijr k Sajdon se kahin Toot na jaun..!
Pathar k Khudao meri Sheeshay ki Jabeen hai..!
Palkon se Tarasha tha hum ne jo Heera..!
Mat Pooch k ab kis ki Angoothi ka nageen ha..!
Aayeena tujhe teri khabar
de na sakay ga..!
Aa dekh meri aankh se tu kitna haseen ha….
Submit By: Muhammad Younus (03337723144)
Mein Failure
Aik student net pe apna result dekh k:
“Mei fail? Wo b English mein?
.
.
.
.
.
That’s unpossible!”;-):-P
Me Ek Buland Hoslay Wala Zidi Sa Shakhs
Submitted By: Mehak
Sunday, July 26, 2009
Yaad Aaon To Bas Itni Si Anayat Karna
Happy Family Day Poems & Quotes 2012
o a wonderful family,
Held together by…
The bonds of love and trust,
Here’s wishing..
Joy and Happiness.
Happy World Family Day
My Highest And My Best
This bright new year is given me
To live each day with zest
To daily grow and try to be
My highest and my best!
Cutest fight
*Cutest fight*
1st friend:
i want to end this relationship, i wil return you everythng which you gave me!
2nd friend:
ok! lets start with
“LOVE”
Bohat Naaz Tha Mujhe Apne Chahne Walon Par
Mein Aziz The Sab Ko, Magar Zaroorton Ke Liye…
CHAND Ne kaha
‘CHAND’ Ne kaha
“Dosti Na kr
Doston ki Bheer Me
Kahin Tu kho Jay ga
Maine kaha
“Ae CHAND Zamin Pe Aa kr Mere
Doston Se Mil
Tu B Upar Jana
Bhol Jay ga
Kitna jhoot bolna prta hy tm chawlOn k liye
4 all Lovely frnds..
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon,
na kisi ke dil ka qaraar hoon,
Kisi bhi kaam mein jo na aa sake
mein woh musht-e-ghubaar hoon..
Saturday, July 25, 2009
Tum na mano magar haqiqat hai – Qabil Ajmeri
Tum na mano magar haqiqat hai
ishq insan ke zarurat hai
kuch to dil mubatala-e-vahashat hai
kuch teri yaad bhi qayamat hai
mere mahbub mujh se jhooth na bol
jhooth surat-e-gar sadaqat hai
jee raha hun is aitamad ke sath
zindagi ko meri zarurat hai
husn hi husn jalve hi jalve
sirf ehasas ke zarurat hai
us ke wade pe naz the kya kya
ab dar-o-bam se nadamat hai
us ke mahafil mein baith kar dekho
zindagi kitni khubsurat hai
rasta kat hi jayega ‘qabil’
shauq-e-manzil agar salamat hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qabil Ajmeri
Kya Aap Panchvi Pass
Kya Aap Panchvi Pass §ai Taiz Hain?
Pakistan ka aìsa city jis ko urdu mai likhtay waqt 15 nuqtay dalnay partay hain
Its A Çhallenge
Friday, July 24, 2009
Jan-e-sukun aa bhi ja tera hi intazar hai – Yahya Jasdanwalla
jan-e-sukun aa bhi ja tera hi intazar hai
aankhon se ashk hai ravan jan bhi beqarar hai
hone ko fasl-e-gul bhi hai davat-e-aish hai magar
apni bahar ka mujhe aj bhi intazar hai
sare sahare ishq ke toot chuke hain hijr mein
ek tumhari yaad bas dard ke gam-gusar hai
ahad-e-vafa ka aap ke lutf-o-karam ka aap ke
aur kisi ko ho na ho mujh ko aitabar hai
lut gai gham ke aabaru lut chuki dil ke aarzoo
‘yahya’ nigah-e-lutf ka phir bhi ummidvar hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Yahya Jasdanwalla
Difficult to find sweet position
Its very easy to eat sweet
chocolate,
speak sweet words,
watch sweet dreams,
BUT Its v.difficult to find a sweet person But I Slute u That u found “ME”…….
Affairs is determined by Allah
No amount of guilt can change the past and
no amount of worrying can change the future.
Go easy on yourself for the outcome of all
affairs is determined by Allah Decree.
If something is meant to go elsewhere,
it will never come on your way,
but if it is yours by destiny,
from you it cannot flee.
Thursday, July 23, 2009
Kon is reh se guzarata hai – Nasir Kazmi
Kon is reh se guzarata hai
dil yun hi intazar karta hai
dekh kar bhi na dekhane wale
dil tujhe dekh-dekh darta hai
shahar-e-gul mein kati hai sari raat
dekhiye din kahan guzarata hai
dhyan ke sidiyon pe pichale pahar
koi chupke se panv dharata hai
dil to mera udas hai ‘nasir’
shahar kyon sayen-sayen karta hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi
Wednesday, July 22, 2009
Wives Insulting Husbands
Wives insulting thier husbands:
pilot’s wife: ziada hawao main mat uro
Teacher’s wife: ab tum mujy sikhao gy
Dentist’s wife: dant torr k haath main pakra du gi.
Doctor’s wife: abi tabiat darust karti hu.
MBA’s wife: mind ur own business..
CA candidate’s wife: chal chal pehlay pass hoja phir baat karna.
Hindi poems on patriotism
Here is one of the best Hindi poems on patriotism. Hindi poems on patriotism are easy to find but not a Patriotic Indian
घोर अंधकार हो,
चल रही बयार हो,
आज द्वार-द्वार पर यह दिया बुझे नहीं
यह निशीथ का दिया ला रहा विहान है।
शक्ति का दिया हुआ,
शक्ति को दिया हुआ,
भक्ति से दिया हुआ,
यह स्वतंत्रता-दिया,
रुक रही न नाव हो
ज़ोर का बहाव हो,
आज गंग-धार पर यह दिया बुझे नहीं,
यह स्वदेश का दिया प्राण के समान है।
यह अतीत कल्पना,
यह विनीत प्रार्थना,
यह पुनीत भावना,
यह अनंत साधना,
शांति हो, अशांति हो,
युद्ध, संधि, क्रांति हो,
तीर पर, कछार पर, यह दिया बुझे नहीं,
देश पर, समाज पर, ज्योति का वितान है।
तीन-चार फूल है,
आस-पास धूल है,
बाँस है -बबूल है,
घास के दुकूल है,
वायु भी हिलोर दे,
फूँक दे, चकोर दे,
कब्र पर मज़ार पर, यह दिया बुझे नहीं,
यह किसी शहीद का पुण्य-प्राण दान है।
झूम-झूम बदलियाँ
चूम-चूम बिजलियाँ
आँधियाँ उठा रहीं
हलचलें मचा रहीं
लड़ रहा स्वदेश हो,
यातना विशेष हो,
क्षुद्र जीत-हार पर, यह दिया बुझे नहीं,
यह स्वतंत्र भावना का स्वतंत्र गान है।
Do share with us more Hindi poems on patriotism in comments section
Jhuthi sachi aas pe jina kab tak aakhir kab tak – Kashif Indori
jhuthi sachi aas pe jina kab tak aakhir kab tak
may ke jagah khun-e-dil pina kab tak aakhir kab tak
socha hai ab par utarenge ya takra kar dub marenge
tufanon ke zad pe safina kab tak aakhir kab tak
ek mahine ke wade par saal guzra phir bhi na aaye
wade ka ye ek mahina kab tak aakhir kab tak
samane duniya bhar ke gham hain aur idhar ik tanaha hum hain
saikadon pathar ik aaina kab tak aakhir kab tak
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Kashif Indori
Gulaab Ki Mehak Se Zyada Madhosh Ho Tum
Sooraten nahi miltien dil me ghar karne ko…
Waqt aa chuka hai ab ashiyaa badalne ko…
Han dil lagi ki thi par dil lagaya liya mene…
Ishq keh raha mujhko phir se kyo sanwarne ko…
Dekh kar hansna nahi anjam se hoon ba khabar…
Ek zara si tanhai mujh men hai bikharne ko…
Aur kia kahun tumse ek junoo hai pehlo mein…
Raat dhal rahi hai aur jazbat hain bharakne ko…
Teergi hai perhan meri nazar mein do bado…
Rok kar bethi Nighat ke ashk hain chalakne ko…
By:Nighat Shamim (All Rights Reserved)
Happy Father Day Sms 2012
Dad, your guiding
hand on my shoulder
will remain with me forever.
Happy Father’s Day
Tuesday, July 21, 2009
Aap Aayi Humare Garib Khane Mein
Aap Aayi Humare Garib Khane Mein
Is Kaniz Ka Jahan Jaise Jannat Ho Gaya
Hum Khud Apni Aawaz Sunne Ko Taras Rahe The
Aapke Alfaaz Sune To Yeh Lamha
Saari Zindagi Ho Gaya
Chandni Mein Kud Ko Yun Na Sawariye
Aapko Dekhkar Chand Bhi Sharma Gaya
Phoolon Ko Apni Khubsurti Par Ghamand Tha
Aapko Dekha To Pura Bagh Murjha Gaya
Zaroorat Nahi Hai Ab Chaand Aur Suraj Ki
Aapke Chehre Ke Noor Se
Yeh Jahan Roshan Ho Gaya
Aapki Tariff Mein Aur Kya Bayan Karu
Aapki Khubsoorti Ke Aage
To Yeh Shayar Bhi Haar Gaya
Shayad Mere Pyar Ko Taste Karna Bhool Gaye
Kal jab milay thay to dil me hua eik sound,
Or aaj milay to kehte ho your file not found,
Jo muddat se hota aaya hai wo repeat kar dunga,
Tu na mili to apni zindagi ctrl+alt+delete kar dunga,
Shayad mere pyar ko taste karna bhool gaye,
Dil se aisa cut kia ke paste karna bhool gaye,
Lakhon honge nigah me, kabhi mjhe bhi pick karo,
Mere pyar ke icon pe kabhi to double click karo..
Oye! na khaween phika ee
1 sardar ke shadi pe sub sardar he aye huay tay
Jub khana start hua to 1 sardar ne plate k opar tissue paper
dakh kr socha shayd ye b khanay wali chaez ha.
Jub wo khanay laga to us k dost onchi onchi bolnay lag gaay
Oye! na khaween phika ee…:-)
Gham Sher o Shayari
Agar Yunhi Yeh Dil Sataata Rahega
Toh Ik Din Mera Ji Hi Jaata Rahega
Mein Jaati Hu Dil Ko Tere Paas Chod
Meri Yaad Tujhko Dilaata Rahega
Galli Se Teri Dil Ko Le Toh Chali Hu
Mein Pohanchugi Jab Tak Yeh Aata Rahega
Qafas Mein Koi Tum Se Ae Hum-Safeeron
Khabar Kal Ki Humko Sunaata Rahega
Khafaa Ho Ke Ae “Dil” Marr Toh Chala Tu
Kahaan Tak Gham Apna Chhupaata Rahega
Zamana Aaya Hai Be_Hajjabi Ka - Iqbal Poetry
Sakoot Tha Parda_Daar Jiska, Wo Raaz Ab Aashkar Hoga…
Jitnay Kar Saktay Ho Sajjday
Abhi Kar Lo Jitnay Kar Saktay Ho Sajjday
AIY MOMINOON Mainay Burhapay Main
Aksar Logoon Ko Bina Sajjde Namaaz Parhtay Dekha Hai
Monday, July 20, 2009
The 3 C Of Life
The 3 C of life:
CHOICES, CHANCES, CHANGES.
You must make a choice
to take a chance
or
Your life will never change.
Basti Basti Khor Udasi
Basti Basti Khor Udasi Parvat Parvat Khali Pan,
Man Hira Bemol Lut Gaya Ghis Ghisri Ka Tan Chandan,
Is Dharti Se Us Ambar Tak Do Hi Chiz Gajab Ki Hai,
Ek To Tera Bhola Pan Hai Ek Mera Deewana Pan……..
Main Uska Hoon Vo Is Ahsaas Se Inkar Karta Hai,
Bhari Mahfil Me Bhi Ruswa Mujhe Har Baar Karta Hai,
Yakin Hai Sari Duniya Ko Khafa Hai Humse Vo Lekin,
Mujhe Maloom Hai Phir Bhi Mujhise Pyar Karta Hai……..
Jiski Dhoon Par Dunia Naache Dil Ek Aisa Taara Hai,
Jo Tumko Bhi Pyaara Hai Jo Humko Bhi Pyaara Hai,
Jhoom Rahi Hai Saari Dunia Jabki Humaare Giton Par,
Tab Kahti Ho Pyar Hua Hai Kya Ahsaan Tumhara Hai……..
Bahut Bikhra Bahut Toota Thapde Sah Nahi Paaya,
Hawaon Ke Isharon Par Magar Main Bah Nahi Paaya,
Adhoora Ansuna Hi Rah Gaya Ye Pyaar Ka Kissa,
Kabhi Tum Sun Nahi Paayi Kabhi Main Kah Nahi Paaya………
Sunday, July 19, 2009
Girls vs boys in love
Girl 1 :- I am in love
Girl 2 :- Who is he ?
Girl 3 :- How does he look ?
Girl 4 :- What color ?
Girl 5 :- How tall is he ?
Girl 6 :- What is he doing ?
Girl 7 :- Who r his frnds ?
Girl 8 :- Total wealth ?
After full inspection All Girls :- Be careful he might be a bad guy
Girl1 :- OK
Same situation
Boy 1 :- I am in love
Boy 2 :- Bhai Party
Boy 3 :- Bhai Party
Boy 4 :- Bhai Party
Boy 5 :- Bhai Party
Boy 6 :- Bhai Party
Boy 7 :- Bhai Party
Boy 8 :- Bhai Party
Maa Ke Dua
Jab”MAA”Apni “AULAD”k Liye “DUA”krti Hai To “ZAMEEN”Or “AASMAN”k Darmyan k Sare “PARDY”Uth Jate Hain
Or”ALLAH”Wo “DUA”khud Sunta Hy “SUBHANALLAH” *Meri MAA k Liye Dua kren,k ALLAH Unko Sahat Or Tandrusti De,Aur Unka Saya Qayam Rakhe. Ameen
Aap B is Msg ko Send kren, Apni Maa ki Dua k Liye…
Usay pholon ki chahat hai
Usay pholon ki chahat hai,
Magar jab phool khiltay hain,
Wo un ko torr deti hai, Wo kehti hai
Usy barish ka mosam acha lgta hai.
Magar jab barish hoti hai,
Wo kamry mei afsurda si ho kr Band ho jati hai.
Wo kehti hai..!
Hawaain ishq hain us ka……!
Hawaa lekin chalay jab to,
Wo khirrki band rakhti hai.
Mujhay abb dar sa lagta hai,
Wo jab bhi ye kehti hai.?
Usay mujh sy muhabat hai…..!
Maafi maagne wale ko
Teacher: Galti hone pe maafi magne wale ko kya kahte hai?
Student: Samajhdar
Teacher: Aur galti na hone pe bhi mafi mangne waale ko kya kahte hai ??
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Student: BOYFRIEND.
Hell to hell
A man in Hell asked Devil:
Can I make a call to my Wife at home?
After making call he asked how much to pay?
Devil:
Nothing, Hell to hell is Free..!!:-D:-P
Future før u
“Beautiful pictures are devølped frøm negatives in dark room. So if any time u see darkness in ur life, it means ALLAH is develøping a beautiful future før u…….!
LAZY RULES
LAZY RULES in our lives:
* the further away the remote is, the more u like whats already on TV
* if u spill water, it wil eventually dry
* dont charge ur phone till it says 5% remaining!
* screw Terms and Conditions & just click ACCEPT
* if its not on the first search page on Google, it doesnt exist
* if an object is 5 ft away, it becomes unnecessary
* if u r late, dont go
* if u drop ice cube, just kick it under fridge..:P
Mitti k khilonon se
Mohabbat kar sakty ho to Rab se karo
“Faraz”
Mitti k khilonon se kabhi wafa nahi milti.
Saturday, July 18, 2009
The Poor Little Kids
I hated school.
Even to this day,
when I see a school bus
its just depressing to me.
The poor little kids.
Urdu Adult Sms Jokes 2012
Sardar sent SMS to his BOSS
:Me sick, no work:
“Boss SMS back”
:When I am sick I kiss my wife try it:
2 hours later sardar sms 2 boss
:Me ok, ur wife very sweet
Friday, July 17, 2009
Meri zindagi kisi aur ki, mere naam ka koi aur hai – Muzaffar Warsi
meri zindagi kisi aur ki, mere naam ka koi aur hai
mera aks hai sar-e-aina, pase aaina koi aur hai
meri dhadakanon mein hai chap si, ye judai bhi hai milap si
mujhe kya pata, mere dil bata, mere sath kya koi aur hai
na gae dinon ko khabar meri, na sharik-e-hal nazar teri
tere des men, mere bhes men, koi aur tha koi aur hai
wo meri taraf nigaran rahe, mera dhyan jane kahan rahe
meri aankh mein kai suraten, mujhe chahata koi aur hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Muzaffar Warsi
kabhi Ghuroor
Mat krna kabhi ghuroor apne Aap par aye
” INSAN””
na jane khuda ne kitne terey jesey bna bna k mita diye.
A Lot Of People
A lot of people work out to be skinny.
That is so boring,
and it seems like a depressing goal for a modern woman.
Hindi shayari khoobsurat
khubsoorat hain woh lub
jo pyari batein kartey hain
khubsoorat hai woh muskurahat
jo doosron ke chehron per bhi muskan saja de
khubsoorat hai woh dil
jo kisi ke dard ko samjhey
jo kisi ke dard mein tadpey
khubsoorat hain woh jazbat
jo kisi ka ehsaas karein
khubsoorat hai woh ehsaas
jo kisi ke dard ke me dawa baney
khubsoorat hain woh batein
jo kisi ka dil na dukhaein
khubsoorat hain woh ankhein
jin mein pakezgi ho
sharm o haya ho
khubsoorat hain woh ansoo
jo kisi ke dard ko
mehsoos kerke beh jae
khubsoorat hain woh Hath
jo kisi ko mushkil
waqat mein tham lein
khubsoorat hain woh kadam
jo kisi ki madad ke liye
aagey badhein !!!!!
khubsoorat hai woh soch
jo kisi ke liye acha sochey
khubsoorat hai woh insan
jis ko KHUDA ne ye
khubsoorati ada ki.
Share with us more Hindi shayari khoobsurat in Comments Section below.
Rapidal Me Andamona
Rapidal Me Andamona Yakha Shpa Wa,
Ma Che Kralo Didanoona Yakha Shpa Wa.
Che Me Kala Da Ashna Pa Seena Kekhwal,
Lagedal Pe Bad Lasoona Yakha Shpa Wa.
Pa Chaman K Da Bulbalo Chghar Na Wo,
Charta Nast Wo Tit Saroona Yakha Shpa Wa.
Ma da Husan Gulistan pa Janan daao kro,
6 Shendale me pre Golona Yakha Shpa Wa.
Tar Saba Da Janan Stargi Wochi Na Shwe,
Sasidal Tre Baranoona Yakha Shpa Wa,
Za IMDAD Husan parest lamba lamba shom,
Bal pa Zra me oo oroona yakha Spa Wa.
Tamannaon mein ulajhaya gaya hun – Shad Azeemabadi
Tamannaon mein ulajhaya gaya hun
khilaune deke bahalaya gaya hun
hun is kuche mein har zarre se aagah
idhar se muddaton aaya gaya hun
dil-e-muztar se puch ae raunaq-e-bazm
main khud aaya nahi laya gaya hun
savera hai bahut ae shor-e-mahashar
abhi bekar uthavaya gaya hun
lahd mein q na jaun muh chupaye
bhari mahafil se uthavaya gaya hun
kuja main aur kuja ae “shad” duniya
kahan se kis jagah laya gaya hun
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shad Azeemabadi
Advance Baqara Eid Mubarak
Humari Taraf se
Ap k ghar wlon ko
Aap k Nakon Dadkon ko
Aap k Nankon Dakhon ko
Saray wad waderon ko
Aap k Azeon Reshtedaron ko
har neka wada ko
Har chotay motay ko
sub kakay kaeyon ko
sub gawandeyon ko
sub Chachay Phupiyon
Dadpotray Dadpotriyon ko
Sub meleron phupheron ko
sub Maseon maseron ko
Aap ki majh , katay , katiyon ko
wachi wacheon ko
Aap k kukar kukeriyon ko
Aap ka Chuchy Chucheyon ko
” ADVANCE BAQARA EID MUBARAK ”
May God Send His Love Like Sunshine
May God send his Love like Sunshine
in his warm and gentle ways
to fill every corner of your Heart
and filled your Life with a lot of
Happiness like this EID DAY.
Wishing you EID MUBARAK.
Thursday, July 16, 2009
Wednesday, July 15, 2009
Life is da way
Life is da way how u look at it:
“LIVETOGETHER”
Some will read as:
Live Together
Others:
Live To Gather
And the rest will read it as:
Live To Get Her.
Aag Ho To Jalney Main Der Kitne Lagtee Hai
Aag Ho To Jalney Main Der Kitne Lagtee Hai
Barf Key Pighalney Main Der Kitne Lagtee Hai
Chahey Koi Ruk Jaye,Chahey Koi Rah Jaye
Qafloun Ko Chalney Main Der Kitne Lagtee Hai
Chahey Koi Jase Bhee Hamsafar Ho Sadyoun Sey
Rasta Badalney Main Der Kitne Lagtee Hai
Ye To Waqt Key Bass Main Hai Ke Kitne Mohlat Dey
Warna Whakt Dhalney Main Der Kitne Lagtee Hai
Soch Ke Zamenoun Per Rastey Juda Hon To
Dur Ja Nikalney Main Der Kitnee Lagtee Hai
Umer Bhar Ka Bandhan Bhee Pal Bhar Main Tut Jata Hai
Soch Ko Badalney Main Der Kitne Lagtee Hai
Jab Hawa Mukhalif Ho,Mooj Main Samander Ho
Kashteyan Ulatney Main Der Kitnee Lagtee Hai
Dil pe karte hain dimagon pe asar karte hain – Baqar Zaidi
Dil pe karte hain dimagon pe asar karte hain
hum ajab log hain zehanon mein safar karte hain
jab sarape pe kaheen us ke nazar karte hain
mir sahab ke tarah umr basar karte hain
bandishen hum ko kisi hal gavara hi nahi
hum to wo log hain divar ko dar karte hain
waqt ki tez-kharami hamen kya rokegi
janbish-e-kalk se sadiyon ka safar karte hain
naqsh-e-pa apana kaheen rah mein hota hi nahi
sar se karte hain mohim jab koi sar karte hain
ham-nashin khub hai ye mahafil-e-yaran ke yahan
wo saliqa hai ke aibon ko hunar karte hain
kya kahen hal tera ae mutamaddin duniya
janvar bhi nahi karte jo bashar karte hain
hum ko dushman ke bhi taqlif gavara na hui
log ehabab se bhi sarf-e-nazar karte hain
marqadon pe to charagan hai shab-o-roz magar
umr kuch log adheron mein basar karte hain
tazakara mir ka galib ke zaban tak aaya
aitaraf-e-hunar, arbab-e-hunar karte hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Baqar Zaidi
For All My Friends
I miss my frnz?
Bcz…
They open their ansr sheet during papr & say”Le chap le jldi wrna latak jyga”..
Apna homwrk kr k copy dety or kehty”kal homwrk kr lena wrna sir clas se nikal dngy”..
Canteen me break k wkt apni plate mjhy dete hue khty”Le kha.Apne pese qabar me lejana”..
Jb lrai hoti to dusri desk pe bthty or gaty”Dost dost na rha pyar pyar na rha”..
Last day ankhon me nami or hoton pe sawal”Tu mjhy bhol to nhi jyga na”..
Miss u my frndz . . . . . .
Tuesday, July 14, 2009
Four Things in your Life
Never Break Four Things In Your Life:
Trust
Promise
Relation
And Heart
Because When They Break They Do not Make Noise
But Pain A Lot…!!
Bathroom Singer
Boy: Tum Gaana Bahot Achchha Gaati Ho
Girl: Thanks But I m Just Bathroom singer
.
.
.
.
.
.
.
.
Boy: To Bulao Na Kabhi Apne Live Program Me
Jitane Bhi Mausam Diye Sab Num Diye
(Jindagi Ne Jindagibhar Ghum Diye
Jitane Bhi Mausam Diye Sab Num Diye) – 3
(Jab Tadapata Hai Kabhi Apana Koi
Khun Ke Aansu Rula De Bebasi) – 2
Ji Ke Phir Karana Kya Mujhko Aisi Jindagi – 2
Jisane Jakhmon Ko Nahi Marham Diye
Jindagi Ne Jindagibhar Ghum Diye
Jitane Bhi Mausam Diye Sab Num Diye
Jindagi Ne Jindagibhar Ghum Diye
(Apane Bhi Pesh Aaye Hamase Ajnabee
Waqt Ki Saajish Koi Samajha Nahi) – 2
Beiraada Kuchh Khataaye Hamase Ho Gayi
Raah Mein Patthar Meri Har Dam Diye
Jindagi Ne Jindagibhar Ghum Diye
Jitane Bhi Mausam Diye Sab Num Diye
Jindagi Ne Jindagibhar Ghum Diye
(Ik Mukkamal Kashamkash Hai Jindagi
Usane Hamase Ki Kabhi Na Dosti) – 2
Jab Mili Mujhko Aansu Ke Woh Tophe De Gayi
Has Sake Hum Aise Mauke Kam Diye – 2
Jindagi Ne Jindagibhar Ghum Diye
Jitane Bhi Mausam Diye Sab Num Diye
Jindagi Ne Jindagibhar Ghum Diye
Chahaton Ki Taiz Baarish Mein
Kabhi Hum Bheegte Hain Chahaton Ki Taiz Baarish Mein
Kabhi Barson Nahin Milte Kisi Halki Se Ranjish Mein
Tumhi Mein Dewtaon Ki Khu Boo Nahin Thi Warna
Kami Koi Nahin Thi Mere Andaaz-E-Parastish Mein
Ye Pehle Soch Lo Phir Aur Bhi Tanha Na Hojana
Usey Chhoone Ki Khuwahish Mein Usey Paane Ki Koshish Mein
Buhat Se Zakham Hain Dil Mein Magar Aik Zakham Aisa Hai
Jo Jal Uthta Hai Raaton Mein Jo Lo Deta Hai Baarish Mein
Baharon ko chaman yad aa gaya hai – Rifat Sultan
Baharon ko chaman yad aa gaya hai
mujhe wo gulbadan yad aa gaya hai
lachakati shakh ne jab sar uthaya
kisi ka bankpan yad aa gaya hai
meri khamoshiyon par hansane valo
mujh wo kamsukhan yad aa gaya hai
tumhen mil kar ke ae yazadanparasto
gurur-e-aharaman yad aa gaya hai
teri surat ko jab dekha hai main ne
uruj-e-fikr-o-fan yad aa gaya hai
kisi ka khubasurat sher sun kar
tera lutf-e-sukhan yad aa gaya hai
mile wo ajanabi ban kar to ‘rifat’
zamane ka chalan yad aa gaya hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Rifat Sultan
Monday, July 13, 2009
Billl To Pagal Hai
Billl To Pagal Hai…….
Bill Deewana Hai…..
Achhe Bure Softwares Banata Hai Yahi,
Hasata He Yahi, Rulata Hai,
Usme Phir ‘Bugs’ Daalta Hain Wohi,
Aur Solutions Bhi Nikalta Hai,
Bill To Pagal Hai…….
Bill Deewana Hai…..
Is Bill Ki Baton Mein Jo Aate Hain,
Woto Oolloo Ban Jate Hain,
Software To Dusare Bhi Banate Hain,
Banake Magar Kho Jate Hain,
Hmmm Bill To Pagal Hai…….
Bill Deewana Hai…..
Softwares Ko Main Na Pehchanoonga,
Working Bhi Na Mein Uski Janoonga,
Microsoft Ka Logo Bass Mein Dekhoonga,
Bill Jo Kahega Wohi Manoonga.
Bill To Pagal Hai…….
Bill Deewana Hai…..
Bill Ka Kehna Hum Sab Maane,
Bill Na Kisi Ki Maane,
Uski Strategy Jaan Li Hamne,
Ek Wohi Na Jaane.
Bill To Pagal Hai…….
Bill Deewana Hai…..
Chhoro Ye Bill Sab Kahaniya,
Bugs Ki Hain Sab Nishaniya,
Programmers Ki Sari Pareshaniya,
Is Bill Ki Hain Ye Meherbaniya.
Hmmm Bill To Pagal Hai….
Bill Deewana Hai…..
Arbi Pathan funny Sms
1 Arbi Bathroom me phone pr BAT kr raha tha ,
PATHAN ne Suna to andar jakr ARBi ko boht mara ,
logo ne pucha to bola,
Ye Kameena Bathoroom me TILAWAT ker rah ta..!!!!!
Jab Tujhe Yaad Kiya Subah Mehak Uthi
Shaam-E-Firaaq Ab Na Poch, Ayi Or Aa Keh Taal Gyi
Dil Tha Keh Phir Bhaal Gya, Jaan Thi Keh Phir Sumbhal Gyi
Bazm-E-Khayaal Mein Tere Husan Ki Shamma Jaal Gyi
Dard Ka Chand Bujh Gya, Hijar Ki Raat Dhaal Gyi
Jb Tujhy Yaad Kr Liya, Subha Mehaak Mehaak Uthi
Jb Tera Ghaam Jagaa Liya, Raat Machaal Machaal Gyi
Dil Sy Tu Hr Muamla Kr Ky Chaley Thy Saaf Hum
Kehney Mein Unky Saamney, Baat Badaal Badaal Gyi
Akhir-E-Shaab Ky Hamsafar, Faiz Naa Jane Kya Huey
Reeh Gyi Kis Jagah Subaa, Subah Kidhar Nikaal Gyi..!!!
How Much You Know
Lets see hw much u knw ” me” :}
1-she wants the most: money/fame/love
Ans:
2-Does she keep secrets in her heart
Yes/No
Ans:
3-Have crushes
Many/few/none
Ans:
4-In gathering she is:
avoiding/bold/shy
Ans:
5-Does she like sm 1 secretly
Yes/no
Ans:
6-What is
she: (arrogant,flexible,sensitive)
Ans:
7-she deals people wid her
Heart/mind
Ans:
8-she loves (dresses,perfumes,watches)
Ans:
Tu dost kisi ka bhi sitamgar na hua tha – Mirza Ghalib
Tu dost kisi ka bhi sitamgar na hua tha
auron pe hai wo zulm ki mujh par na hua tha
choda mah-e-nakhshab ke tarah dast-e-qaza ne
khurshid hanoz us ke barabar na hua tha
taufiq ba andaz-e-himmat hai azal se
aankhon mein hai wo qatara ki gohar na hua tha
jab tak ke na dekha tha qad-e-yar ka aalam
main motaqid-e-fitana-e-mahashar na hua tha
main sada dil aazurdagi-e-yar se khush hun
yani sabaq-e-shauq mukarrar na hua tha
dariya-e-maasi tunuk abhi se hua khushk
mera sar-e-daman bhi abhi tar na hua tha
jari thi asad dag-e-jigar se mere tahasil
aatashqada jagir-e-samandar na hua tha
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
Aqal Aur khawahish
Janwar me khawahish or Frishtay
me aqal hoti hy Mgr Insan mai dono hoti hain
Agr wo Aqal ko daba ly to Janwar ,
agr Khwahish ko dabaly to Farishta
Hazart ALI (A.S)
Sunday, July 12, 2009
Jannat Maangne ki Dua
Jannat maangne ki Dua: Allahumma inni assaluka jannah
Dozakh se duri ki Dua: Allahumma ajjirni minannar
Jitnay log parhen ge, ap ko utna sawab mile ga. DUAON me yaad Rakhain
Saturday, July 11, 2009
The Greatest Mistake In Our Relationships
The Greatest Mistake Which We Humans Comit In Our Relationships:
“We Listen Half, Understand Quarter, Think Zero And React DOUBLE.”
Richness is not Earning More
Richness is not Earning More,
Spending More or Saving More.
Richness is when you Need No More.
Being satisfied is real Richness
Dayar-e-dil ki raat mein chirag sa jala gaya -Nasir Kazmi
Dayar-e-dil ki raat mein chirag sa jala gaya
mila nahi to kya hua wo shaql to dikha gaya
judaion ki zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi neend aa gai mujhe bhi sabr aa gaya
ye subah ki safediyan ye dopahar ki zardiyan
ab aaine mein dekhata hun main kahan chala gaya
pukarati hain fursaten kahan gai wo sohabaten
zamin nigal gai unhen ya aasaman kha gaya
wo dosti to khair ab nasib-e-dushmanan hui
wo choti choti ranjishon ka lutf bhi chala gaya
ye kis khushi ki ret par gamon ko neend aa gai
wo lahar kis taraf gai ye main kahan sama gaya
gaye dinon ki lash par pade rahoge kab talak
utho amalkashon utho ki aafatab sar pe aa gaya
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi
Marry Her
Dear Boys,
If a girl gives you as many chances as DHONI
had given to RAINA, then MARRY her 😛
Mujhe Chaho
” Humarey Baad Nahi Aaye Ga Usy Chahat Ka Aisa Maza “FARAZ”
Wo Logon Sy Khud Kehta Phirey Ga Mujhe Chaho Uski Tarha…!
Narzgi ki shayari
Aap jo naraz hue, phoolon ne bhi khilna chhod diya,
Sara jahan gulistan hai, mera hi baag patjhad ban gaya
Aap jo naraz hue, suraj ne bhi humse mooh mod liya,
Sara jahan roshan hai, mera hi duniya mein andhera chha gaya
Aap jo naraz hue, badalon ne bhi barasna chhod diya,
Sara jahan samandar hai, ek mein hi pyasa reh gaya
Aap jo naraz hue, koyal ne bhi kookna chhod diya,
Sara Jahan sangeet hai, main hi apne sur bhool gaya
Teri Narazgi Ka Asar Kuch Aisa Hota Hai,
Ankhen Nam Aur Dil Me Dard Hota Hai,
Krte Hai Kisi Se Baat To Lavj Sath Nahi Detey,
Har Waqt Ye Diwana Tumhare Khayal Me Duba Rehta Hai
us se mai.n kuchh paa sakuu.N aisii kahaa.N ummiid thii
Gam bhii vo shaayad baraa-e-meharabaanii de gayaa
sab havaaye.N le gayaa mere sama.ndar kii ko_ii
aur mujh ko ek karatii baadabaanii de gayaa
Share with us more Narazgi ki shayari .in comments section below.
Friday, July 10, 2009
Biwi ka rang kala
Sardar ki Biwi ka rang kala tha
Biwi ne Red Colour ki sarhi pehni or Sardar se pucha
Me kesi lag rhi hn
Sardar muskuraty huwy bikul CHRIS GAYLE 😛 😀
Hum raton ko uth uth ke jin ke liye rote hain – Hasrat Jaipuri
hum raton ko uth uth ke jin ke liye rote hain
wo gair ke bahon mein aaram se sote hain
hum ashk judai ke girane hi nahi dete
bechain si palaon mein moti se pirote hain
hota chala aaya hai bedard zamane mein
sachai ke rahon mein kante sabhi boten hain
andaz-e-sitam un ka dekhe to koi “hasrat”
milane ko to milate hain nashtar se chubhote hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hasrat Jaipuri
Setting password for facebook
Girlfriend setting password for her facebook account with boyfriend sitting beside her
She types BRAIN as password
Boyfriend fell down of his chair laughing
y?
Cuz
Facebook replied: TOO SMALL
Thursday, July 9, 2009
Kisi Ne Chaha Duniya Ko Chor Ker
Usne Chaha to Chahaton Ki Hadon Se Barh Kr
Kehta tha jo Haath Na Chorna Tufano Se Dar Kr,
Phir Khud Hi tor Diya Wo taulluq Zindagi K Ek Mor Pr,
Aaj Mene Pocha to Kehta Hai Wo Lmha tha Jo Guzar Gaya Kinaron Ko tor Kr,
Khud Hi Ro Para Wo Ek Zindagi K Mor Pr,
Or Keh Gaya tum Kisi Or ka Ho Jao Mujhe BhooL Kr,
Me Hasrat Se Dekhta Raha Use Apne Hathon Ko Jor Kr,
Or Wo Chal Para Meri Wafaon Ko Chour Kr,
Mgr Me Karonga Intezar Un Lmhaat Ko tham Kr,MOHSIN
Kabi to Hoga Usse Bhi Ye Ehsas
Kisi Ne Chaha tha Use Duniya Ko Chour Kr
Muslims are Not terrorist
Muslims are Not terrorist.
Terrorist are Not Muslims.
Roshni Mein Jeeney Waley
Chirago Ko Q Bujhaeinge
…
Jo Murdo Ko nhi Jalatey
Wo zindo Ko Q Jalaeingey
Hanste Huey Aankhon Mein
Hanste Huey, Aankhon Mein Kyun Aa Jaate Hain Ye Aansoo
Yoon Khushi Ko Adhoora Sa Bana Jaate Hain Ye Aansoo
Dard Itna Hai Saha, Khaali Ho Gaya Samandar Ashkon Ka Jaane Kahan Say
Aankhon Mein Bhar Jaate Hain Ye Aansoo
Khush Hoon Main, Koi Shikwa Zamane Say Na Taqdeer Say Meri
Iss Baat Ko Jhoota Kyun Bana Jaate Hain Ye
Bahut Khoobsoorat Ho Tum
Bahut Khoobsoorat Ho Tum
Bahut Khoobsoorat Ho Tum
Agar Main Jo Kehdoon Mohobbat Hai Tumse
Tho Mujhko Khudaara Galat Mat Samajhna
Ke Meri Zaroorat Ho Tum
Bahut Koobsoorat Ho Tum
Ye Chehra Tumhaara Ke Din Hai Sunehra
Aur Uspar Ye Kaali Ghataaon Ka Pehra
Gulaabon Sa Naazuk Mehekta Badan Hai
Ye Lab Hain Tumhaare Ke Khilta Chaman Hai
Bikheron Na Zulfen, Tho Sharmaayen Baadal
Farishtey Bhi Dekhen Tho Hojaayen Paagal
Wo Pakeeza Moorath Ho Tum
Bahut Khoobsoorat Ho Tum
Hain Phoolon Ki Daali Ye Baahen Tumhaari
Hai Khaamosh Jaadu Nigaahen Tumhaari
Jo kaanten Hon Sab Apni Daaman Mein Bhar Loon
Bichaawoon Main Kaliyon Se Raahen Tumhaari
Nazar Se Zamaane Ki Khudko Bachaana
Kisi Aur Se Dekho Dil Na Lagaana
Ke Meri Amaanath Ho Tum
Bahut Khoobsurat Ho Tum
Jo Banke Kali Muskuraati Hai Aksar
Shab-e-Hijr Mein Wo Rulaati Hai Aksar
Jo Lamhon Hi Lamhon Mein Duniya Badalde
Jo Shaayar Ko Milti Hai Pehloo Ghazal Se
Chupaana Jo Paawoon Chupaa Hi Na Paawoon
Bhulaana Jo Paawoon Bhulaa Hi Na Paawoon
Wo Pehli Mohabbat Ho Tum
Bahut Khoobsurat Ho Tum
Agar Main Jo Kehdoon Mohobbat Hai Tumse
Tho Mujhko Khudaara Galat Mat Samajhna
Ke Meri Zaroorat Ho Tum
Bahut Koobsoorat Ho Tum
Itna Bata Sharab Haram Hai Ya
Mein Pee Kar Nahi Behakta, Usey Dekh Kar Behakta Hoon.
Itna Bata Sharab Haram Hui Ya WO?
Ammi ka jawab : Sharab Haram he, aur wo Haramzadi.
Wednesday, July 8, 2009
True Love Comes Quietly
True love comes quietly,
without banners or flashing lights.
If you hear bells,
get your ears checked.
Hamsafar Hamesha Yaado Ki
Hamsafar Hamesha Yaado Ki Parchai Hoti Hai,
Yaadien Bhi Ajeeb Hoti Hai Jab Nahi Hota Koi Paas,
Toh Yaadein Hoti Hai Kabhi Ek Lamhe Ki Haseen Dastan Hoti Hai,
Toh Kabhi Nazar Bankar Aansu Mein Pirothi Hai,
Kadwi Ho Ya Methi Dil Ke Kisi Kone Mein Rehti Hai,
Kabhi Kashish Hoti Hai Toh Kabhi Chuban Hoti Hai
Yaadein Bhi Ajeeb Hoti Hai Jab Nahi Hota Koi Paas,
Toh Yaadein Hoti Hai
Ramzan Breaking News
Breaking news:
C.M Balochistan Nawab Raisani ne murghay ki azan per roza khol liya…
Wo kehtay hain
azan azan hoti hai chahay murgha de ya molvi….
Tuesday, July 7, 2009
Among Those Whom I Like
Among those whom I like or admire,
I can find no common denominator,
but among those whom I love,
I can: all of them make me laugh.
Mat Door Jana Ham Se Kabhi Itna Ke Waqt Ke Faisly Pe Afsoos Ho
Monday, July 6, 2009
Ek bas tu hi nahi mujhase khafa ho baitha
ek bas tu hi nahi mujhase khafa ho baitha
main ne jo sang tarasha wo khuda ho baitha
uth ki manzil hi agar aaye to shayad kuch ho
shauq-e-manzil mein mera aabalapa ho baitha
masalahat chin gai quvvat-e-guftar magar
kuch na kahana hi mera meri sada ho baitha
shukriya ae mere qatil ae masiha mere
zeher jo tune diya tha wo dawa ho baitha
jane ‘shehzad’ ko minjumla-e-ada pakar
huk wo utthi ki jee tan se juda ho baitha
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Farhat Shahzad
1 Aadmi ka kadd
1 Aadmi ka kadd 9 ft tha wo 1 Baba k paas gya
or kaha koi hal btayen
BABA: neher k kinary 1 fqerni hy us se shadi ka pucho
agr us ne NAHI kaha to tumhara Qad 1 foot chota ho jaye ga
Admi fqerni k pas gya or kaha mujh se shadi karogi?
Fqerni: nahi
Admi ka Qad 1 ft chota hogya.
socha 8 ft b ziada hy Phir pucha
Fqerni: nahi 1 ft or chota hogya
us ne socha 7 ft thora lamba hy 6 ft ideal hy Phir pucha
Fqeerni: Nahi Nahi Nahi Nahi Nahi
Don’t stop laughing
You don’t stop laughing because you grow old, You grow old because you stop laughing.
Online shayari sms
Tere dil ko jo na ehsaas ho paye
To dil ki baaten dil mei tadapne denge
Ek din kisi aur ke ho jayenge
Par apna dil tere liye dhadakne denge
Meethi baaton se nahi hota pyar
Har phool se nahi banta haar
Yun to zindagi mei koi aata he aur jata he
Lekin har koi nahi banta aap jaisa yaar
Kyun teri yaad hame satane aa gayi
Kyun haq chahat ka jatane aa gayi
Bhoolna chahte hain hum jin kasmo ko
Kyun un kasmo ko nibhane aa gayi
Har baat ka jawab nahi hota,
Har ishq ka naam kharab nahi hota,
Yun to jhoom lete he nashe mei peene wale,
Par har nashe ka naam sharab nahi hota
Share with us more Online shayari sms in comments section below.
Sunday, July 5, 2009
Dedicated To FASTIANS-NU
Dedicated To FASTIANS:
Ques: Prove that 2/10=2
Other stdnts insist questi0n is “out of slaybus” or inc0rct
but FASTIANS stdnts solve it as bel0w:
2=two
10=ten
two/ten
Now cancelling ‘t’= wo/en
Alphabatical Position:
W=23O=15E=5N=14
Substitutng valuz
w+o=23+15=38 &
e+n=5+14=19
So
wo/en = 38/19 = 2
Hence proved!!
For FASTIANS it d0esnt matter dat what is answer,
they say answer lana kya hai yeh batao.GEO FASTIANS 😉
Allama Iqbal Islamic Poetry # 1
Allama Iqbal Islamic Poetry # 1
Zaban Se Kah Bhi Diya La Ilaha Illah To Kya Hasil
Dil-O-Nigah Musalman Naheen To Kuchh Bhi Naheen
Pak India Match Result Sms
GUD NEWS!!!
India ki Innings Baqi reh gaii hain
PAkistan or India ke match me.
Abhi Abhi news aai hai PESHAWAR mai ye match
khatam ho chuka hai aur pakistan JEET gya hai 😀
Paraishan na hon darasal wo Saudi Arab walon ke sath Daikh rahe they 😛
Dua_E_Subha Ya Allah
Dua_E_Subha
Ya Allah…
Ye Subha Hum Sab K Liye
Hidayat Ka Noor
or Deen_O_Duniya Ki Salamti ka Paigham
Le Kar Aye. Ameeen…
Good Morning..
Saturday, July 4, 2009
Wo Fasana Yaad Aata Hai
Jo Keh Na Sake Wo Fasana Yaad Aata Hai
Guzra Hua Dilkash Jamana Yaad Aata Hai
Jab Husn Se Ishq Takraya The Kabhi
Ghayal Hue The Ek Parwana Yaad Aata Hai
Dil Se Mohabbat Ke Tufaan Uthe The Jab
Aankhon Ka Sapne Sajana Yaad Aata Hai
Kasturi Jaise Din Mehakte The Mere
Raaton Ka Gungunana Yaad Aata Hai
Aankhon Ka Mil Kar Jhuk Jana Nahin Bhula
Hothon Ka Thar_Tharana Yaad Aata Hai
Mera Usko Kankhiyon Se Dekhna Baar Baar
Aur Uska Wo Muskurana Yaad Aata Hai
Friday, July 3, 2009
mujhe apne barbaad hone ka gham nahi
Yeh dunia ik khwabon ki zameen hai
Yahan sab kuch hai aur kuch bhi nahin hai
Tere chone se pehle wehma tha
mujhe apne barbaad hone ka gham nahi
Ju sochon tu sulag uthti hain saansain
Tera ehsaas kitna aatsheen hai
Jaga don kaise tujh ko apne dil mein
Yahan tu tera gham masnad nasheen hai
Mere chehre pe koi jhuk raha hai
Yeh lamha tu khuda jaisa haseen hai
Respect The Old When
Respect the old when you are
young… Help the weak when you are strong…
Forgive the fault when you are right…
because one day in life you may be….
OLD, WEAK, & WRONG!
larke ko bewakoof bunaya
Bubbli:
Maa aj me ne ek larke ko
Bewakoof bnaya
Anti Misba:
Wo Kese?
Bubbli:
Main ne us ka 500 ka note
Apni sandal me chupa lya
Ur wo 2 ghante meri brazier mei
Dhoondta rha
FROM: Asma Zafar
Thursday, July 2, 2009
Adam K Rabb Ko
1 Shakhs Kahin Ja Raha Tha K Shaitan Us K Sath chal para..
Raste Mein Usne Na Fajar Ki Namaz Parhi
Na Zuhr Na Aser Ki Na Maghrib na Eshaa Ki,
Yeh Dekh K Shaitan Bola:
“Mere Aur Tere Raste Ab Se Juda Hain”
Us Admi Ne Waja Puchi To Shaitan Bola:
“Mene Adam Ko Aik Sajda Nahi Kia Tha To Allah Ne Mujh Pe Lanat Bhaiji.
Tune To 34 Sajde Nahi Kiye Wo Bhi Adam K Rabb Ko.
Mujhe Tere Anjam Se Darr Lag raha hai”
plz forward to all muslims
Kachi Umer Me Kal
Kachi umer me kal k dukhon se ajj uljhana theek nahin,
Pehla sawan bhegane walo shad raho abad raho.
And If in Life
There is “lie” in believe
“over” in lover
“end” in friend
“Us” in trust
“ex” in next
and “if” in life.
Yeh Zindagi Tere Sath Ho
Yeh Zindagi tere sath ho,
Yah Arzoo din raat ho…
Main Tere Sung Sung Chalon….
tu har safar main mere Sath ho…
Main Kaanton par bhi Chal Paron…
Tere Pyar ki Jub Barsaat hoo…
Chaman me.n rang-e-bahaar utaraa to mai.n ne dekhaa
chaman me.n rang-e-bahaar utaraa to mai.n ne dekhaa
nazar se dil kaa Gubaar utaraa to mai.n ne dekhaa
mai.n niim shab aazamaa ke hasarat ko dekhataa thaa
chaman me.n vo husn zaar utaraa to mai.n ne dekhaa
Khumaar mai thii vo cheharaa kuchh aur lag rahaa thaa
Dam-e-sahar jab Khumaar utaraa to mai.n ne dekhaa
galii ke baahar tamaam ma.nzil badal gaye the
jo saayaa ek kuu-e-yaar utaraa to mai.n ne dekhaa
ik aur dariyaa kaa saamanaa thaa ‘Munir’ mujh ko
mai.n ek dariyaa ke paar utaraa to mai.n ne dekhaa
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Munir Niazi
Phulaich Fair Shayari and Poetry in Hindi and Urdu
Find latest Phulaich Fair Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Phulaich Fair 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Phulaich Fair sms greeting.
The Phulaich Fair is held every year in the state of Himachal Pradesh. It is held in the month of September in the Kinnaur district. Although the state of Himachal Pradesh is extremely famous for its fairs and festivals, especially for the spirit of its locals. Phulaich Fair is the best of its kind in Himachal Pradesh.
According to Hindu calendar it is organized in the month of Bhadrapada, which witnesses a sprout of monsoons. The Fair is basically associated with the flower watching festival of Ukhyang in the Kinnaur Valley.
The Phulaich Festival also known as Fulaich Festival is associated with the act of remembering the ones who has passed away. The village comes alive during the festivities of the fair. Colorful stalls and participants from the nearby areas throng the place during the Festival. For tourists or visitors from outside have a proper taste
The Phulaich fair or Fulaich fair is celebrated with great fervor by the locals of the place. The festivities normally start with villagers going on mountain top and collecting Ladra flowers. Villagers also sacrifice animals. The fair is associated with the act of remembering the ones passed away and thus relatives offer wine, rice and food to their dear deceased ones, which are later distributed among the poor. Following this ritual, the village people gather to visit the Dhangaspa family house and show their respect by garlanding the family members. Also, the village people are seen playing drums and blowing bugles to greet the heroic team that climbed the hill top to collect the Ladra flowers.
Happy Phulaich Fair Mubarak to all of you from shayari Online Team
Lanat bhej raha ho
Exam hall mein Student copy pe apna
Panja bana ra tha.
Duty per teacher bola paper mein to hand ki diagram ka Question nai
Student:
Mein paper banane wale per lanat bhej raha hun
Happy Rainy Day
Enjoy lovely Mosam ‘ ‘ ‘ ‘ ‘
‘ , ‘ , ‘ , ‘ , ‘ __,_____/____ _/ ..;’;’;.,
,l__[]__,l__! ,,)(,, –
Happy Rainy Day
Wednesday, July 1, 2009
Viyah ho gya
Sardar: Oye Tera viyah ho gya?
Friend: Aahoo
Sardar: Kuri nal?
Friend: Hor ki mundy nal v hunda a ?
Sardar: Aahoo , Meri pehn da te Mundy nal hoya si 😛
Na Tum Jano Na Hum (Parody)
Kyon Chalti Hai Pawan
Because Of Evoporation
Kyon Jhoome Hai Gagan
Because Of Earth’s Revolution
Kyon Machalta Hai Mann
Because Of Eccessive Respiration
Na Tum Janno Na Hum
But I Just Gave All The Answers !!!!
Kyon Aati Hai Bahar
Because Of Change In Season
Kyon Lutata Hai Kaarar
Becuase Of Mental Tension
Kyon Hota Hai Pyaar
Because Of Fatal Attraction
Na Tum Janno Na Hum
Like I Said These Are All Science
Phenomena
Kyon Gum Hai Har Disha
Because U Have Lost The Sense Of Direction
Kyon Hota Hai Nasha
Because Of Drug Addiction
Kyon Aata Hai Maaza
But Science Gives All The Information
Sabar Kabhi Na Maango
Sabar kabhi na maango
kyoun ke sabar kisi cheez ko kho dene ke baad hasil hota hai,
hamesha sakon maango
kyoun ke sakon hasil karne ke liye kisi cheez ko khona nahin parta.
Smile An Ever Lasting Smile
Smile An Ever Lasting Smile
A Smile Can Bring You Near To Me
Don’t Ever Let Me Find You Gone
‘Cause That Would Bring A Tear To Me
This World Has Lost Its Glory
Let’s Start A Brand New Story
Now My Love You Think That
I Don’t Even Mean A Single Word I Say
It’s Only Words And Words Are All
I Have To Take Your Heart Away
Talk In Ever Lasting Words And
Dedicate Them All To Me
And I Will Give You All My Life
I’m Here If You Should Call To Me
You Think That I Don’t Even Mean A Single Word I Say
It’s Only Words And Words Are All I Have
To Take Your Heart Away It’s Only Words
And Words Are All I Have To Take Your Heart Away