meri zindagi kisi aur ki, mere naam ka koi aur hai
mera aks hai sar-e-aina, pase aaina koi aur hai
meri dhadakanon mein hai chap si, ye judai bhi hai milap si
mujhe kya pata, mere dil bata, mere sath kya koi aur hai
na gae dinon ko khabar meri, na sharik-e-hal nazar teri
tere des men, mere bhes men, koi aur tha koi aur hai
wo meri taraf nigaran rahe, mera dhyan jane kahan rahe
meri aankh mein kai suraten, mujhe chahata koi aur hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Muzaffar Warsi
No comments:
Post a Comment