Aap jo naraz hue, phoolon ne bhi khilna chhod diya,
Sara jahan gulistan hai, mera hi baag patjhad ban gaya
Aap jo naraz hue, suraj ne bhi humse mooh mod liya,
Sara jahan roshan hai, mera hi duniya mein andhera chha gaya
Aap jo naraz hue, badalon ne bhi barasna chhod diya,
Sara jahan samandar hai, ek mein hi pyasa reh gaya
Aap jo naraz hue, koyal ne bhi kookna chhod diya,
Sara Jahan sangeet hai, main hi apne sur bhool gaya
Teri Narazgi Ka Asar Kuch Aisa Hota Hai,
Ankhen Nam Aur Dil Me Dard Hota Hai,
Krte Hai Kisi Se Baat To Lavj Sath Nahi Detey,
Har Waqt Ye Diwana Tumhare Khayal Me Duba Rehta Hai
us se mai.n kuchh paa sakuu.N aisii kahaa.N ummiid thii
Gam bhii vo shaayad baraa-e-meharabaanii de gayaa
sab havaaye.N le gayaa mere sama.ndar kii ko_ii
aur mujh ko ek karatii baadabaanii de gayaa
Share with us more Narazgi ki shayari .in comments section below.
No comments:
Post a Comment