Saturday, July 11, 2009

Dayar-e-dil ki raat mein chirag sa jala gaya -Nasir Kazmi



Dayar-e-dil ki raat mein chirag sa jala gaya
mila nahi to kya hua wo shaql to dikha gaya


judaion ki zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi neend aa gai mujhe bhi sabr aa gaya
ye subah ki safediyan ye dopahar ki zardiyan
ab aaine mein dekhata hun main kahan chala gaya
pukarati hain fursaten kahan gai wo sohabaten
zamin nigal gai unhen ya aasaman kha gaya
wo dosti to khair ab nasib-e-dushmanan hui
wo choti choti ranjishon ka lutf bhi chala gaya
ye kis khushi ki ret par gamon ko neend aa gai
wo lahar kis taraf gai ye main kahan sama gaya
gaye dinon ki lash par pade rahoge kab talak
utho amalkashon utho ki aafatab sar pe aa gaya




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi



No comments:

Post a Comment