Wednesday, July 22, 2009

Jhuthi sachi aas pe jina kab tak aakhir kab tak – Kashif Indori



jhuthi sachi aas pe jina kab tak aakhir kab tak
may ke jagah khun-e-dil pina kab tak aakhir kab tak
socha hai ab par utarenge ya takra kar dub marenge
tufanon ke zad pe safina kab tak aakhir kab tak
ek mahine ke wade par saal guzra phir bhi na aaye
wade ka ye ek mahina kab tak aakhir kab tak
samane duniya bhar ke gham hain aur idhar ik tanaha hum hain
saikadon pathar ik aaina kab tak aakhir kab tak


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Kashif Indori



No comments:

Post a Comment