Thursday, July 23, 2009

Kon is reh se guzarata hai – Nasir Kazmi



Kon is reh se guzarata hai
dil yun hi intazar karta hai
dekh kar bhi na dekhane wale
dil tujhe dekh-dekh darta hai
shahar-e-gul mein kati hai sari raat
dekhiye din kahan guzarata hai
dhyan ke sidiyon pe pichale pahar
koi chupke se panv dharata hai
dil to mera udas hai ‘nasir’
shahar kyon sayen-sayen karta hai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi



No comments:

Post a Comment