Tu dost kisi ka bhi sitamgar na hua tha
auron pe hai wo zulm ki mujh par na hua tha
choda mah-e-nakhshab ke tarah dast-e-qaza ne
khurshid hanoz us ke barabar na hua tha
taufiq ba andaz-e-himmat hai azal se
aankhon mein hai wo qatara ki gohar na hua tha
jab tak ke na dekha tha qad-e-yar ka aalam
main motaqid-e-fitana-e-mahashar na hua tha
main sada dil aazurdagi-e-yar se khush hun
yani sabaq-e-shauq mukarrar na hua tha
dariya-e-maasi tunuk abhi se hua khushk
mera sar-e-daman bhi abhi tar na hua tha
jari thi asad dag-e-jigar se mere tahasil
aatashqada jagir-e-samandar na hua tha
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
No comments:
Post a Comment