ye chiragh be’nazar hai ye sitara be’zubaan hai
abhi tujh sey milta julta koi doosra kahan hai
wohi shakhs jis pey apney dil’o’jaan nisaar ker doun
wo ager khafa nahi hai tu zuroor badgumaan hai
kabhi paa ke tujh ko khona kabhi kho ke tujh ko pana
ye janam janam ka rishta terey merey darmiyaan hai
merey saath chalney waley tujhey kia mila safar mein
wohi dukh bhari zameen hai wohi gham ka aasman hai
mein isi gumaan mein barsoon bara mutmai’en raha houn
tera jism be’taghayyur hai mera pyaar jawedaan hai
unhi rastoon ne jin per kabhi tum they saath merey
mujhey rok rok poocha tera humsafar kahan hai.
Share with us moreYe charagh be-nazar ha ye sitara be-zuban ha in Comments Section below.
No comments:
Post a Comment