Kab Thi Raah Mein Teri, Fikre Beshikam Maula
Har Qadam Tha Wirde Zubaan, Dam Hamadam Dam Maula
Kab Hamare Bas Mein Thi Baria Bhi Is Dar Ki
Aap Ne Bulaya To Aa Gaye Hain Hum Maula
Jeeteji Na Bhulega Humko Tera Dastarkhan
Nematein Do Aalam Ki Thi Jaha Baham Maula
Tere Mehe Maabankar Chumkar Tera Sang-e-Dar
Ho Gaye Hain Dunya Mein Hum Bhi Mohtaram Maula
Aap Jisse Raazi Hon Wo Khushi Ataa Keeje
Aur Bajuz Gham-e-Sarwar Ho Na Koi Gham Maula
Ab Koi Nahin Jachta Shehriar O Takht O Taaj
Jabse Hain Nighaahon Mein Aap Ka Hasham Maula
Lag Raha Hai Yun Mujhko Jayse Mil Gayi Meraj
Jab Se Choom Aaya Hoon Aap Ke Qadam Maula
Raah Agar Che Mushkil Thi Aur Safar Musalsal Tha
Aake Tere Dar Pe Hue Phir Se Tere Dam Maula
Aap Ke Siwa Maula Kaun Usko Samjhega
Haal Jo Suna Ayi Mere Chashm-e-Nam Maula
Jaanta Hai Khoob Usko Sibte Jafare Khushdo
Hai Ye Sher Goyi Bhi Aap Ka Karam Maula
No comments:
Post a Comment