aag puri kahan bujhi hai abhi
dida-e-tar mein tishnagi hai abhi
doston se chuka raha hun hisab
dushmanon se kahan thani hai abhi
dost kah kar mujhe na de gali
dil pe ik zakhm-e-dosti hai abhi
kat de ye bhi khudparasti mein
aur thodi si zindagi hai abhi
jane kyon kund ho gaya nashtar
zakhm ke dhar to vahi hai abhi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Midahtul Akhtar
No comments:
Post a Comment