Khayal-e-kaba-o-taiba main kis tarah bhulun
ye zindagi ka sahara main kis tarah bhulun
gunahagaron se ahakaron kam nasib sahi
gulam hun dar-e-aka main kis tarah bulun
bahar-e-subah-e-haram kyon na mujhe yaad aayen
sawad-e-sham-e-madina main kis tarah bhulun
maze uthaye hain izahar-e-dard-e-dil ke jahan
wo ashk-o-ah ke duniya main kis tarah bhulun
hazar bekhudi-e-shauq hon magar ‘taskeen’
khud apne dil ka fasana main kis tarah bhulun
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Taskeen Qureshi
No comments:
Post a Comment