Sitaron se aage jahan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihan aur bhi hain
tahi zindagi se nahi ye fazayen
yahan saikadon karavan aur bhi hain
kana’at na kar aalam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhi, aashiyan aur bhi hain
agar kho gaya ek nasheman to kya gham
maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain
tu shahin hai parwaz hai kam tera
tere samane aasman aur bhi hain
isi roz-o-shab mein ulajh kar na reh ja
ke tere zamin-o-makan aur bhi hain
gae din ke tanha tha main anjuman mein
yahan ab mere razdan aur bhi hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Allama Iqbal
No comments:
Post a Comment