aaj ke is kalyug me
kaha hai gandhi ki toli ?
saath me jise liye chalte
thi shanti hi gita ki hamjoli
ramdev, anna bhi gaye
sarkar ke is khatai me
shanti ke saath chaturai bhi gayi
bhrashtachar ki ladai me
nahi mila mukaam abtak
jiski hame talash thi
kranti ab wo phir chhidegi
jo san 47 ki aawaz thi
angrej darke bhage the
janta ke aage kampe the
wahi janta phir jagegi
sarkar ko milkar bhapengi
aawaj satyagrah kahi nahi
garmajoshi ka dabaw bhi tha
tabhi desh aajad hua tha
jisse bharat ka guman hua tha
yeto satyagrah ki aawaz hai
garmjoshi abhi hui kaha ?
itne me sarkar loot gayi hai
naujwan utrenge to ye bhagegi kaha ?
antim samay tak chalegi ladai
bhrashta netao pe hogi kadai
jang haar sakte nahee kabhi
hai bhrashtachar ki ye pahli ladai
jhuk jaayegi ye sarkar
fans jaayenge shatir mantri
aakhir kabtak jhuthi shan rahegi
bhrashtachar ab nahi chalegi
bhrashtachar ab nahi chalegi
bhrasthachar ab nahi chalegi
Mil Gayi Azaadi par Inquilab ab bhi Jaari Hai
Naye Bharat ke Nirman Ki Jimmedari ab hamari hai
Nikal aaye hain ham ghar se, mila liye hain jab haath
To Dikhne lagi seyaasat daan ki lachaari hai
Kya karein – wo to bhrashtachari hai
Par ab hamare junoon ke aage unke sab daanv bekaari hai
ukhad fenkna hai bhrashtachar ko jo mulq ki sabse badi bimari hai
Mil Gayi Azaadi par Inquilab ab bhi Jaari Hai……
Share with us more Poem on corruption in hindi .in comments section below.
No comments:
Post a Comment