Na kisi ke aankh ka nur hun na kisi ke dil ka qarar hun
jo kisi ke kam na aa sake main wo ek musht-e-gubar hun
na to main kisi ka habib hun na to main kisi ka raqib hun
jo bigad gaya wo nasib hun jo ujad gaya wo dayar hun
mera rang-rup bigad gaya mera yar mujh se bichad gaya
jo chaman fizan mein ujad gaya main usi ke fasl-e-bahar hun
paye fateha koi aaye q koi char phul chadaye q
koi aake shamma jalaye q main wo bekasi ka mazar hun
main nahi hun nagma-e-janfishan mujhe sun ke koi karega kya
main bade barog ke hun sada main bade dukh ke pukar hun
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bahadur Shah Zafar
No comments:
Post a Comment