Monday, April 16, 2007

Chaman Mein Subah Yeh Kahti Thi



Chaman Mein Subah Yeh Kahti Thi Ho Kar Chashm-E-Tar Shabnam,
Bahaar-E-Baagh To Yun Hi Rahi, Lekin Kidhar Shabanam.


Arq Ki Bund Us Ki Zulf Se Rukhsaar Par Tapki,
Taajjub Ki Hai Jaage Yeh Pari Khurshid Par Shabnam.


Hamen To Baagh Tujh Bin Khaana-E-Maatam Nazar Aya,
Idhar Gul Phaarte The Jeb, Roti Thi Udhar Shabnam.



Kare Hai Kuchh Na Kuchh Taasir Suhbat Saaf Tabon Ki,
Hui Aatish Se Gul Ke Baithte Rashk-E-Sharar Shabnam.


Bhala Tuk Subah Hone Do Ise Bhi Dekh Levenge,
Kisi Ashiq Ke Rone Se Nahin Rakhti Khabar Shabnam.


Nahin Asbaab Kuchh Laazim Subak Saaron Ke Uthne Ko,
Gayi Ur Dekhte Apne Baghair Az Baal-O-Par Shabnam.


Na Paaya Jo Gaya Is Baagh Se Hargiz Suraagh Uska,
Na Palti Phir Saba Idhar, Na Phir Aai Nazar Shabnam.


Na Samjha Dard Ham Ne Bhed Yaan Ki Shadi-O-Gham Ka,
Sahr Khandaan Hai Kyon, Roti Hai Kis Ko Yaak Kar Shabnam



No comments:

Post a Comment