Monday, April 30, 2007

Guzri dinon ke yaad barasati ghata lage



guzri dinon ke yaad barasati ghata lage
guzarun jo us gali se to thandi hawa lage
mehaman banke aaye kisi roz agar wo shakhs
us roz bin sajaye mera ghar saja lage
main is liye manata nahi vasl ke khushi
mere raqib ke na mujhe baddua lage
wo qahat dosti ka pada hai ki in dinon
jo muskura ke baat kare aashna lage
tark-e-vafa ke bad ye us ke ada ‘qateel’
mujhko sataye koi to us ko bura lage


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Qateel Shifai



No comments:

Post a Comment