Jab meri haqiqat ja ja kar un ko sunai logon ne
kuch sach bhi kaha kuch jhooth kaha kuch baat banai logon ne
dhayen hain hamesha zulm-o-sitam duniya ne muhabat valon par
do dil ko kabhi milane na diya divar uthai logon ne
aankhon se na aansu ponch sake honton pe khushi dekhi na gai
aabad jo dekha ghar mera to aag lagai logon ne
tanhai ka sathi mil na saka ruswai mein shamil shahar hua
pahale to mera dil tod diya phir id manai logon ne
is daur mein jina mushkil hai ae ‘ashk’ koi aasan nahi
har ik qadam par marane ke ab rasm chalai logon ne
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ibrahim Ashk
No comments:
Post a Comment