Bahut mila na mila zindagi se gam kya hai
mata-e-dard baham hai to besh-o-kam kya hai
hum ek umr se vaqif hain ab na samajhao
ke lutf kya hai mere meharaban sitam kya hai
kare na jag mai alav to sher kis maqasad
kare na shahar mai jal-thal to chashm-e-nam kya hai
ajal ke hath koi aa raha hai paravana
na jane aj ke feharist mai raqam kya hai
sajao bazm gazal gao jam taza karo
bahut sahi gam-e-geti sharab kam kya hai
lihaz mai koi kuch dur sath chalata hai
vagarna dahar mai ab khizr ka bharam kya hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz
No comments:
Post a Comment