Monday, February 5, 2007

Yaad hain sare wo aish-e-bafaragat ke maze – Hasrat Mohani



Yaad hain sare wo aish-e-bafaragat ke maze
dil abhi bhula nahi aagaz-e-ulfat ke maze


wo sarapa naz tha begana-e-rasm-e-jafa
aur mujhe hasil the lutf-e-benihayat ke maze


husn se apne wo gafil tha main apne ishq se
ab kahan se laun wo na-vaqfiyat ke maze


meri janib se nigah-e-shauq ke betabiyan
yar ke janib se aagaz-e-sharart ke maze
yaad hain wo husn-o-ulfat ke nirali shokhiyan
iltamas-e-uzr-o-tamahid-e-shikayat ke maze
sehaten lakhon meri bimari-e-gam par nisar
jis mein uthe barha un ke ayadat ke maze


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Hasrat Mohani



No comments:

Post a Comment