Tamhid-e-sitam aur hai takamil-e-jafa aur
chakhane ka maza aur hai pine ka maza aur
tasir to tasir tasavvur hai gurezan
raton ko zara mangiye uth uth ke dua aur
donon hi bina-e-kashish-o-jazb hain lekin
nagmon ke sada aur hai nalon ke sada aur
takra ke waheen toot gaye shisha-o-sagar
maikhvaron ke jhurmut mein jo saqi ne kaha aur
wo khud nazar aate hain jafaon pe pasheman
kya chahiye aur tum ko “shakeel” is ke siva aur
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shakeel Badayuni
No comments:
Post a Comment