Khamoshi ka saman hai aur main hun
dayar-e-khuftagan hai aur main hun
kabhi khud ko bhi insan kash samajhe
ye sai-e-rayagan hai aur main hun
kahun kis se ki is jamahuriyat mein
hujum-e-khasaravan hai aur main hun
pada hun is taraf dhuni ramaye
atab-e-rah-ravan hai aur main hun
kahan hai ham-zaban ALLAH jane
faqat meri zaban hai aur main hun
khamoshi hai zamin se aasman tak
kisi ke dastan hai aur main hun
qayamat hai khud apne aashiyan mein
talash-e-ashiyan hai aur main hun
jahan ek jurm hai yad-e-baharan
wo lafani khizan hai aur main hun
tarasati hain kharidaron ke aankhen
javahir ke dukan hai aur main hun
nahi aati ab aavaz-e-jaras bhi
gubar-e-karavan hai aur main hun
ma’al-e-bandagi ae “josh” tauba
khuda-e-meharaban hai aur main hun
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Josh Malihabadi
No comments:
Post a Comment