Monday, February 26, 2007

Barish ka Barasna kaisa

Hijar ki rutt mai ye Barish ka Barasna kesa!
Aik sehra se samandar ka Guzarna kesa?
Ae Mere DiL na Pareshan ho Tanha ho Kr!
Woh terey sath chala kab tha
Bicharna kesa?
Log to kehtey hain Gulshan ki tabahi dekho!
Main to viran sa jangal tha
Ujarna kesa?
Dekhney me to koi dard nhi Dukh b nhi!


Phir yeh Aankhon me Youn Ashkon ka Ubharna kesa?


Be wafa Kehney ki Jurrat b na karna Sagar! us ne iqrar kiya kab tha mukarna kesa.?

No comments:

Post a Comment