Kahan wo tay tha charagan har ek ghar ke liye
kahan charag mayassar nahi shahar ke liye
yahan darakhton ke saye mein dhup lagti hai
chalo yahan se chale aur umr bhar ke liye
[darakht = tree
na ho qamiz to ghutanon se pet dhak lenge
ye log kitne munasib hain is safar ke liye
khuda nahi na sahi aadmi ka khwab sahi
koi hasin nazara to hai nazar ke liye
wo mutamain hain ki pathar pighal nahi sakata
main beqarar hun aavaz mein asar ke liye
jiyen to apne bagiche mein gulmohar ke liye
maren to gair ke galiyon mein gulmohar ke liye
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Dushyant Kumar
No comments:
Post a Comment