Khuda ke vaste ab berukhi se kam na le
tadap ke phir koi daman ko tere tham na le
bas ek sajda-e-shukrana pa-e-nazuk par
ye maikada hai yahan par khuda ka naam na le
zamane bhar mein hain charche meri tabahi ke
main dar raha hun kaheen koi tera naam na le
mita do shauq se mujhko magar kaheen tumase
zamana meri tabahi ka intaqam na le
jise tu dekh le ik bar mast nazron se
wo umr bhar kabhi hathon mein apne jam na le
rakhun ummid-e-karam usase ab main kya “sahir”
ki jab nazar se bhi zalim mera salam na le
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Bhopali
No comments:
Post a Comment