Saturday, February 10, 2007

Mouhabat Ki Tabiyat May



Mouhabat Ki Tabiyat May
Yeah Kaisa Bachpana Qudrat Nay Rakha Hay
Ke Yeah Jitnee Bhee Purrani
Jitnee Bhee Mazboot Hu Jaye
Issay Tayed-E-Taza Ki Zaroorat Phir Bhee Rehtee Hay
Yaqeen Ki Akhri Hadoo“N Tak
Nigahoon May Lehlahatee Hu
Ankhoon May Chamaktee Hu
Lahoo May Jagmagatee Hu
Issay Izhaar Ke Lafzoon Ki
Hajat Phir Bhee Rehteee Hay
Mouhabat Mangtee Hay Yooon
Gawaahi Apnay Hounay Ki
Jaisay Ik Tifal-E-Sadaaa
Shaam May Beej Boye
Aour Shab May Barha Uthay
Zameen Khod Kar Dekay, Ke Yeah Pouda Kahan Tak Hay
Issay Bass Aik Heee Dhunn Hay
Kaho Mujh Se Mouhabat Hay
Kaho Mujh Se Mouhabat Hay



No comments:

Post a Comment