Tuesday, February 27, 2007

Khizaan Ke Zard Patton Ka Wo Manzar Yaad Karta Hai

Khizaan Ke Zard Patton Ka Wo Manzar Yaad Karta Hai,
Usey Kehna Bohat Usko Navamber Yaad Karta Hai…
Khizaan = autumn; Zard = Yellow; Manzar = Scene
Usey Kehna Ke Yakh-Basta Hawain Zakhm Deti Hain,
Usey Kehna Usey Ik Shakhs Aksar Yaad Karta Hai…
Yakh-Basta = Cold; Zakhm = Wounds;
Usey Kehna Ke Us Ko Bhool Jana Bas Sey Bahir Hai,
Usey Kehna Usey Koi Be_Hisaab Yaad Karta Hai….

Winter-Sad-Poetry

No comments:

Post a Comment