Inkar mein iqarar ke baat aa hi gai hai
baton mein gam-e-yar ke baat aa hi gai hai
aaya hai kabhi zikr agar dar-o-rasan ka
gesu-va-qad-e-yar ke baat aa hi gai hai
jab surkhi-e-gulshan ka kabhi zikr hua hai
tere lab-o-rukhsar ke baat aa hi gai hai
dhunda hai agar zakhm-e-tamanna ne mudava
ik nargis-e-bimar ke baat aa hi gai hai
mil baithe hain zindan mein agar sham ko ahabab
tere dar-o-divar ke baat aa hi gai hai
cheda hai koi talkh fasana jo kisi ne
shirini-e-guftar ke baat aa hi gai hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mazhar Imam
No comments:
Post a Comment